Is Mulk Mein Jaise Ab Masjido Ki Khuli Ijazat Nahi

To Ab Hazrat Jo Zameen Madarse Ke Naam Ho Or Usme Jumma Or Eidain Ki Namaz Bhi Hoti Ho Or Bachche Padhte Bhi Ho.

To Kya Madarse Mein Jumma Or Eidain Hosakti Hai?

Agar Jumma Or Eidain Hoti Hai. To Kya Us Madarse Ki Zameen (Jise Humlog Masjid Ki Nazar Se Hi Dekhte Hai) Ke Liye Zakat Or Fitre Ki Raqam Lagayi Jasakti Hai?

Jawab:

Jumuah O Eidain Ki Jamaat Ke Liye Masjid Shart Nahi.

Zakat Wagaira Sadaqat Ke Mustahiq Fuqara Masakeen Hain.

Is Raqm Ko Begair Heela E Sharai Ke Madrasa, Ya Masjid Mein Lagane Se Zakat Ada Hi Na Hogi.

Haan Agar Heela E Sharai Kiya Jaayein, To Masjid O Madrasa Ki Tameer Wagaira Mein Uske Istemal Ki, Ulama Ne Ijazat Di Hai.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love