Ground Floor Par Masjid Hai Aur Uske Upar Flats Hain, To Upar Rahna Jayez Hoga Ya Nahi?

Aur Rehne Wale Gunehgar Honge, Ya Banane Wala.nnYa Uska Hukm Wala, Ya Jisne Zameen Waqf Ki Hai Wo?nnJawab:nnAgar Wo Zameen Masjid Ke Liye Pehle Se Waqf Hai.nnTo Uske Shash Jihaat (janib) Masjid Hi Hai.nnAb Agar Baad Me Uske Upar Rehne Ke Liye Flat Banaaye Jaayein.nnTo Usme Rehna Haraam Aur Banane Rehne Waale Sab Gunahgar Honge.nnAur Agar Mauqoofa Zameen Na Thi Zameen Ke Malik Ne Ta?meer Ke Waqt Ground Floor Ko Namaz Ke Liye Khaas Kar Diya Aur Uske Upar Flat Bana Diya To Ye Jaayez Hai.nnAur Wo Ground Floor Aam Bol Chaal Me Masjid AgarChe Ho.nnMagar Shar?an Masjid Nahi.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love