Kuch Log Mahaz Thodi Si Taklif Ki Wajah Se Namaz Baith Kar Padhte Hai.

To Unka Aisa Karne Se Qiyaam Maaf Ho Jayega.nnAur Jo Thodisi Taklif Ki Wajah Se Namaz Baith Kar Padhi Unpar Kya Hukam Hai.nnANSWERnnKhade Hone Se Mahaz Kuch Taklif Hona Uzr Nahi.nnnBalki Qiyaam Us Waqt Saaqit Hoga (Yaani Maaf Hoga) Ki Khada Na Ho Sake, Ya Sajda Na Kar Sake, Ya Khade Hone, Ya Sajda Karne Me Zakhm Bahata Hai.nnYa Khade Hone Me Qatra Aata Hai. Ya Chauthai (1/4) Satrr Khulta Hai. Ya Qira?at Se Majbure Mahaz Ho Jaata Hai.nnnYoonhi Khada Ho Sakta Hai. Magar Usse Marz Me Zyaadati Hoti, Ya Der Me Achha Hoga, Ya Naa Qabil E Bardasht Taklif Hogi To Baith Kar Padhe.nnAaj Kal Umuman Yeh Baat Dekhi Jaati Hai Ki Jahaan Zara Bukhar Ya Khafif Si Taklif Huyi Baith Kar Namaz Shuru Kardi.nnnHaalanki Wahi Log Usi Halaat Me 10-10, 15-15 Minute.nnBalki Zyaada Khade Hokar Idhar Udhar Ki Baate Kar Liya Karte Hai.nnUnko Chahiye Ke In Masail Se Aagaah Ho Aur Jitni Namaze Bawujud Qudrate Qiyaam Baith Kar Padhi Ho.nnUnka Lautaana Farz Hai.nnnYoonhi Agar Waise Khada Na Ho Sakta Tha Magar Laathi, Ya Deewar, Ya Admi Ke Sahaare Se Khada Hona Mumkin Tha To Wo Namazein Bhi Na Huyi.nnUnka Pherna Farz Hai.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love