Masjid mein sirf farz ada karne ke baad baki ki namaz ghar aakar padhna chahiye.

Jawab:

Hadees e paak mein hai Huzoor e Akram Sallallahu Alahi Wasallam ne irshad farmaya.

“logo! Apne gharo mein Namaz parha karo kyu ke siwa e farz namaz ke Admi ki afzal Namaz wo hai jo wo apne ghar mein parhe”.

Bukhari Shareef

Sayyedi Aalahazrat Fazil e Barelwi RadiaAllahu Taala Anhu farmate hai.

“sunan o nawafil ka ghar mein parhna afzal aur yahi Rasoolullah Sallallahu Alahi Wasallam ki Aadat e Tayyebah.

Magar ab aam amal e ahl e islam sunan ke masjid hi mein parhne par hai aur is mein Masaale hain ke unme wo itminan kam hota hai jo masjid mein.

Aur Aadat e qaum ki mukhalifat mujib e Ta’n o angusht numaai o inteshar e zunoon o fatah e bab e geebat hoti hai.

Aur hukm sirf istehbabi tha to in masaale ki riaayat is par murajjih hai.

Aimma e deen farmate hain aadat ke khilaf karna shohrat pasandi o makrooh hai.

Fatawa Razavia jild 3 page 458

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love