Uss Waqt Wo Namaz Imam Sahab Ke Qiyadat Mein Adaa Kar Raha Tha.nnAgar Zaid Imam Sahab ki Qiyadat Mai Namaz Adaa Kar Raha Ho Aur Aisi Koi Galti ho Jaaye Jisse Sajda e Sahw Karna Pade.nnTo Kya Zaid ko Sajda e Sahw Karna Hoga ?nnJawab:nnUmooman Imam Ke Salam Pherne Ke Baad hi Uski Iqteda Karne Waale Salam Pherte Hain, Aur Salam Me Agar Kuch Bhi Takheer Hui, To Ab Iqteda Baaqi Na Rahi.nnBalke Masbooq Munfarid Ho Gaya.nnLehaza is Bina Par Sajda Wajib Hoga.nnHaan! Agar Bilkul Imam Ke Sath Hi Sath Masbooq Ne Salam Phera Aur Yaad Aate Hi Khada Ho Gaya to Sajda Wajib Na Hoga.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????