Ki Yaad Aa Gaya To is Surat Mein Kya Karein?
Agar Ruku, Sajda Ya Qada Mein Bhool Kar Quran Padh Diya, Toh Kya Hukm Hai?
Agar Farz Ka Qada e Akheera (Pichli Baithak) Nahi Kiya Aur Bhool Kar Khada Ho Gaya, Toh Kya Karein?
Jawab:
Agar Abhi Seedha Nahi Khada Hua Hai, Toh Baith Jaaye Aur Sajda e Sahw Na Karein, Aur Agar Seedha Khada Ho Gaya.
Toh Na Laute Aur Aakhir Mein Sajda e Sahw Karein Aur Agar Lauta Toh Is Surat Mein Bhi Sajda e Sahw Wajib Hota Hai.
Agar Ruku, Sajda Ya Qada Mein Bhool Kar Quran Padh Diya, To Is Surat Mein bhi Sajda e Sahw Wajib Hai.
Agar Farz Ka Qada e Akheera (Pichli Baithak) Nahi Kiya Aur Bhool Kar Khada Ho Gaya.
To Jab Tak Us Rakat Ka Sajda Na Kiya Ho Laut Aaye Aur Attahiyat Padh Kar Dahini Taraf Salam Phere Aur Sajda e Sahw Karein Aur Agar Us Rakat Ka Sajda Kar Liya.
Toh Sajda Se Sar Uthate Hi Woh Farz Nafl Ho Gaya.
Isiliye Agar Chahein To alawa Maghrib Ke Doosri Namazo Mein Ek Rakat Aur Milaye Taaki Rakat Taq Na Rahein.