Namaz Padhne Ka Tarika Kya Hai?

Jawab:

Namaz Padhne Ka Tarika Ye Hai Ki Bawuzu Qiblaruk Doono Paawon Ke Panjo Mein Chaar Ungliyo Ka Faasla Karke Khada Ho.

Aur Doono Haath Kaan Tak Le Jaaye Ki Angoothe Kaan Ki Lou Se Chu Jaaye.nnIss Haal Mein Ki Hatheliyan Qibla Rukh Ho.

Phir Niyat Karein.

Allahu Akbar Kehte Huwe Haath Neeche Laakar Naaf Ke Neeche Baandhle Aur Sana Padhein.

SUBHANAKALLAAHUMMA WA BIHAMDIKA WA TABAARA KASMUKA WA TA AALA JADDUKA WALA ILAAHA GAIRUKA?

Phir Taouz padhein.

Yaani AWUZU BILLAHI MINASH SHAITAAN NIRRAJEEM

Phir Tasmiyah padhein.

Yaani

BISMILLAH HIRRAHMAAN NIRRAHEEM Padh Kar ALHAMDU Padhein Aur Aameen Aahista Kahein.

Uske Baad Koi Surah Ya Teen Aayate Padhein, Ya Ek Aayat Jo Ki Chooti Teen Aayaton Ke Barabar Ho.

Ab Allahu Akbar Kehta Huwa Ruku Mein Jaayein Aur Ghutno Ko Haath Se Pakad Le.

Iss Tarah Ki Hatheliya Ghutno Par Ho, Ungliya Khoob Pheli Ho, Peeth Bichi Ho Aur Sar Peeth Ke Baraabar Ho Ooncha Neecha Na Ho.

Aur Kam Se Kam Teen Baar SUBHANA RABBIAL AZEEM Kahein.

Phir SAMIALLAAHU LIMAN HAMIDAH Kehte Huwe Seedha Khada Ho Jaayein.

Aur Akele Namaz Padhta Ho Toh Uske Baad RABBANA LAKAL HAMD Kahein.

Phir Allahu Akbar Kehta Huwa Sajde Mein Jaayein.

Iss Tarah Ki Pehle Ghutne Zameen Par Rakhein.

Phir Haath, Phir Doono Haatho Ke Beech Mein Naak, Phir Peshaani Rakhein.

Iss Tarah Ki Peshaani Aur Naak Ki Haddi Zameen Par Jamaaye Aur Baazoun Ko Karwato Aur Peit Ko Raano Aur Raano Ko Pindhliyo Se Juda Rakhein.

Aur Doono Paawon Ki Sab Ungliya Qiblaru Ho Aur Kam Se Kam Teen Baar SUBHANA RABBIAL AALA Kahein.

Phir Sar Uthaye, Phir Haath Aur Dahina Qadam Khada Karke Uski Ungliya Qiblarukh Karein Aur Baaya Qadam Bicha Kar Uss Par Khoob Seedha Bait Jaayein.

Aur Hatheliya Bichakar Raano Par Ghutno Ke Paas Rakhein.

Phir Allahu Akbar Kehta Huwa Sajde Mein Jaayein Aur Pehle Ki Tarah Sajda Karke Phir Sar Uthaye, Phir Haatho Ko Ghutno Par Rakh Kar Panjo Ke Bal Khada Ho Jaayein.

Ab Sirf BISMILLAH HIRRAHMAAN NIRRAHEEM Padh Kar Qirat Shuru Karein.

Phir Pehle Ki Tarah Ruku Sajda Karke Baaya Qadam Bicha Kar Bait Jaayein Aur Attahiyat Padhein.

ATTAHI YATULILLAHI WASSALAWATU WATTAIBAATU ASSALAAMU ALAIKA AYYUHANNABIYYU WA RAHMATULLAHI WA BARKA TAHU ASSALAAMU ALAINA WA AALA IBAADILLAHISSALIHEEN ASHHADU ALLAAILAAHA ILLALAAHU WA ASHHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASSOLUHU

Attahiyat Padhte Huwe Jab Kalimaye LAA Ke Qareeb Pahunche.

Toh Dahine (Right) Haath Ke Beech Ungli Aur Angoothe Ka Halka Banaye Aur Changuliya Aur Uske Paas Waali Ko Hatheli Se Milaade.

Lafze LAA Par Kalima Ki Ungli Uthaye.

Magar Usko Hilaaye Nahi Aur Kalimaye ILLA Par Gira De Aur Sab Ungliya Fauran Seedhi Karle.

Ab Agar Doo Se Ziyada Rakat Padhni Hai.

Toh Uth Khada Ho Aur Iss Tarah Padhein.

Magar Farzo Ki Unn Rakato Me ALHAMDU Ke Saat Surat Milana Zaruri Nahi.

Ab Pichla Qaida (Baithak) Jiske Baad Namaz Qatam Karega, Uss Mein Attahiyat Ke Baad Darood Shareef Padhein.

ALLAHUMMA SALLE ALA SAYYADINA MUHAMMADIN WA AALA AALI SAYYADINA IBRAHEEMA WALAA ALI SAYYADINA IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUMMAJEED, ALLAAHUMMA BAARIK ALA SAYYADINA MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALAA IBRAHEEMA WA AALA IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUMMAJEED

Fir Dua e Masoora Padh kar Salam Phere.

Share your love