Kaunse Waqt Mein Nafl Namaz Padhna Jayez Nahi?

Jawab:

Tulu Wa Gurub (Suraj Ka Nikalna Aur Doobna) Aur Dopahar.

Inn Teeno Waqto Mein Koyi Namaz Jaayiz Nahi, Na Farz, Na Wajib Aur Na Nafl.

Haan! Agar Uss Roz Asr Ki Namaz Nahi Padhi Hai.

Toh Suraj Doobne Ke Waqt Padhle Aur Tulu-E-Fajr Se Talu-E-Aftaab (Suraj) Ke Darmiyaan.

Siwaaye Doo Rakaat Sunnat E Fajr Ke Tahiyatul Masjid Aur Tahiyatul Wuzu Wagairah Koyi Nafl Jaayiz Nahi Aur Namaz e Asr Se Magrib Ki Farz Padhne Ke Darmiyan Nafl Mana Hai Aur Khutba Ke Waqt Aur Namaz e Eidein Se Peshtar (Pehle) Nafl Makruh Hai.

Chaahe Ghar Mein Padhe Ya Eidgah, Wa Masjid Mein Aur Namaz e Eidein Ke Baad Bhi Nafl Makruh Hai.

Jab Ki Eidgah, Ya Masjid Mein Padhein.

Ghar Mein Padhna Makruh Nahi Hai!

Share your love