Jawab: Jo Baatein Ki Namaz Mein Wajib Hai, Unmein Se Kisi Ek Ke Bhool Kar Chooth Jaane Se Sajda e Sahw Wajib Hota Hai. Jaise Farz Ki Pehli, Yaa Doosri Rakat Mein Alhumdu, Ya Surat Padhna Bhool Gaya.
Ya Sunnat Aur Nafl Ki Kisi Rakat Mein Alhumdu, Ya Surat Padhna Bhool Gaya. Ya Alhumdu Se Pehle Surat Padh Di, Toh In Surato Mein Sajda e Sahw Karna Wajib Hai.