Kya Koi Banda Qasdan Deri Se Namaz Padhein

Matlab Time Ho Chuka Ho Aur Time Khatm Hone Se Pehle Pehle Padle, To Aisa Karna Kaisa Hai. Banda Gaon Mein Rahta Hai Waha Masjid Nahi Hai.

Maslan Agar Zohar Ki Namaz Ka Time 1 Baje Hai Aur Kasdan 3 Baje Padhein.

Jawab:

Agar Masjid Muhalle Mein Hai Aur Qasdan Bila Wajah E Sharai Jamaat Tark Karta Hai, To Sakht Gunahgar Hoga.

Rahi Baat Der Se Namaz Parhne Ki, To Agar Namaz Ka Waqt Baaqi Hai Aur Usi Waqt Mein Namaz Parhta Hai, To Koi Harj Nahi.

Balke Baaz Auqaat Der Se Parhna Afzal Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love