Namaz Ki kunji kya hai

Namaz ki kunji Taharat (Paaki) Hai.nnTAHARAT YAANI PAAKI KA BAYAANnnNamaz ke liye Paaki Aisi Cheez Hai Ki Bina Paaki Ke Namaz Hoti Hi Nahi Balki Jaan Boojh Kar Bagair Taharat Namaz Ada karne ko Hamare Olama Kuffr Likhte Hai Aur Kyun Na Ho Ki Us Be-Waju Ya be-Gusl Namaz padh ne waale Ne Ibadat ki Be Adbi Aur Tauhin Ki Nabi ? Ne Farmaya Hai Ki Jannat Ki Kunji Namaz Hai Aur Namaz Ki Kunji Taharat (Paaki) HainnIs Hadees Ko Imam Ahmed Ne Jabir Radiallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Kiya ki Ek Roz Nabi ? Subah ki Namaaj Me Surah-E-Room Padh Rahe The Beech Me Shubh Huwa Namaaj ke Baad Farmaya ki Un Logo ka kya Haal Hai Jo Hamare Saath Namaz padte Hai Aur Achhi Tarah Taharat Nahi Karte Unhi ki wajah se Imam ko Kir’At me Shubh Padta HainnIs Hadees Ko Nasai Ne Shabib ibne Abi Rooh se Unhone Ek Sahabi Se Riwayat kiya ki Jab Bagair Kaamil Taharat Ke Namaz padhne ki Yah Nahusat hai to Be-Taharat Namaz padhne ki Nahusat ka kya puchh na Tirmizi Me Hai ki Huzoor ? ne Farmaya ki Taharat (Aadaah) Imaan Hai Yah Hadees Hasan Hai.nnReferencennBahar-e-Sahari’At Hissa 02 Safa 08nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love