Namaz Ke Aakhri Waqt Mein Niyat Bandh Kar Namaz Padhne Lage

Aur Salam Pherne Se Pahle Qaza Ka Waqt Lag Gaya To Kya Namaz Ho Jayegi? Jaise Namaz E Fajr Mein Der Se Namaz Padhne Aane Walo Ke Sath Hota Hai Ke Salam Pherne Se Pahle Tulu E Aaftab Ho Jata Hai Aur Qaza Ka Waqt Lag Jata Hai.

Jawab:

3 Namazo Ka Hukm Ye Hai Ke Agar Salam Se Pahle Waqt Khatm Ho Jaaye woh Namaz Nahin Hogi.

1) Fajr

2) Juma

3) Eidain

Baaqi Namazo Mein Agar Waqt Mein Takbeer E Tahreema Kaha Aur Waqt Khatm Ho Gaya Aur Namaz Poori Kar Li Jab Bhi Ada Hai.

Lihaza Agar Duraan E Namaz Hi Fajr Ka Waqt Khatm Ho Gaya, To Ye Namaz Nahin Hui Ise Dobarah Padhein.

 

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love