Fajr Namaz ki Sunnat Farz Namaz ke baad Fauran padhna kaisa hai?

Fajr Namaz ki Sunnat Farz Namaz ke baad Fauran padhna Najayez Hai.nnMas’Ala : Fajr ki Sunnat Qaza Ho gayi Aur Fajr padhli to Ab sunnato ki Qaza nahi.nnAlbatta Imaam Muhammed Rahmatullahi Alaihi Farmate hai. ki Tulu E Aftab ke baad padhle to behtar hai (Guniya) Aur Tulu se Pesh tar Bil Ittifaq Mamnu Hai (Raddul Muhtaar).nnAaj kal Aksar Awaam Farz ke Fauran baad padh liya karte hai yah Najaayez Hai.nnPadhna ho to Aaftaab Baland hone ke baad Aur jawaal se pahle padhe.nnMas’Ala : Fajr Ki Namaz Qaza ho gayi Aur jawaal se pahle padhli To sunnate padhe. Warna nahi Aalaawa Fajr ki aur Sunnate Qaza Ho Gayi to unki Qaza nahi (Raddul Muhtaar).n

Bahar-e-sahari’At Hissa 4 safa 13

n

??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love