Jumma Namaz Ki Jamat Kayam Karne Ke Liye

Imam Ke Alawa Kam Se Kam Kitne Mard Hone Chahiye. Tab Jumma Hogi?

Jawab:

Jamat: Imam Ke Alawa Kam Se Kam 3 Mard Hone Chahiye.

Agar 3 Gulam, Ya Musafir, Beemaar, Ya Gunge, Ya Anpad Muqtadi Ho. To Jummah Ho Jayegi Aur Sirf Auratein Aur Bachche Ho To Nahi.

(Aalamgeeri, Raddul Muhtar)

Khutbe Ke Waqt Jo Log Maujood The Wah Bhaag Gaye Aur Dusre 3 Shakhs Aa Gaye To Inke Saath Imam Jummah Padhein.

Yaani Jummah Ki JamaAt Ke Liye Unhi Logo Ka Hona Jaruri Nahi Jo Khutbe Ke Waqt Haajir The.

Balki Unke Gaur Se Bhi Ho Jayegi.

(Durre Mukhtar)

Bahar E ShariAt Hissa 4tha Safa No 82

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Sahab

Share your love