Abhi jo aankh ki bimari faile huvi hai

jisme aankh dukhti hai aur aankh se pani nikalta hai.

Jisse wuzu toot jata hai, to aise surat mein JUMMA ki namaz ka kya hukm honga.

Kyun ke agar aankh se pani band hone ka intezar karenge to JUMMA ki namaz chut jayengi.

Aise surat mein kya karein.

Baraye Karam jawab inayat farmaye.

Jawab:

Dukhti hui Ankh se Nikalne wala pani Na paak hai,

Agar Ankh se baher nikle to Wuzu toot jaayega.

Agar ek Pura Namaz ka waqt is tarah guzra ke itna bhi waqt na mila ke wuzu kar ke farz namaz ada kar sake, to wo Ma’zoor hai.

Aur Ma’zoor ke liye hukm ye hai ke wo Har Namaz ke waqt mein naya wuzu kar ke jitni Chahein namazein parh sakta hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love