4 Raka’At waali Namaz jise 1 Raka’At Imam ke Saath Mili To Us par Kya Hukm hoga?

4 Raka’At waali Namaz jise 1 Raka’At Imam ke Saath Mili To Us par Kya Hukm hoga?nnUs Ne Jama’At Na paayi.nJama’At Ka Sawaab Milega.nnMas’Ala:  4 Raka’At waali Namaz jise Ek Raka’At imam ke saath mili To Usne Jama’At Na paayi, Haan Jama’At ka sawaab milega. Agarche Kada E Akhira me shamil hua ho Balki jise 3 Raka’At e Mili usne bhi Jama’At na paayi.nnJama’At ka sawaab milega magar jis ki koyi Raka’At jaati Rahi use itna sawaab na milega jitna Awwal se Sharik hone waale ko hai.nnIs Mas’Ale ka hasil yah hai ki, kisi ne kasam khaayi fala namaz Jama’At se padhega. Aur Raka’At jaati Rahi to kasam toot gayi kaffara dena hoga.nn3 Aur 2 Raka’At waali namaz me bhi 1 Raka’At na mili to Jama’At na mili Aur laahik (jiski beech ki ek ya jyada Raka’At chooti ho) ka hukm puri Jama’At paane waale ka hai.nn(Durre Mukhtaar)n

Bahar E Shari’At 4tha Hissa Safa No 35

n

??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love