1- Jo aam logo ke paas se Chanda karke, banayi pakayi gayi ho. Jisme 100% Shaq-Wa-Shuba ka ilm rehta hai, ki voh

(a) RIZQ-E-HALAL se Hai ya nahi?

(b) Aehle Aqeeda se haasil hai ya nahi?

2- Aisa Shaq wa shubah mein, aam logon Ko kya karna chahiye?

3-Jyada tar masjido mein bhi Chanda hota hai.

Jaha par koi parhej nahi Hoti, logo ke Imaan ke baare mein Aur vohi paiso se NAZRO-NIYAZ Hoti hai.

Uske baare mein kya Hukam hoga?

Jawab:

Jab Maloom nahi ke ye paise halal hain ya haraam to wo apni asl yaani ibaahat par baaqi rahega.

Yaani usko fatiha ke liye Istemal karna jayez hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love