Zaid Ke Ghar Ek Billi (Cat) Hai Jo Usi Ke Ghar Par Rehti Hai

Aur Uske Ghar Par Quraan Shareef Uchi Jagah Rakhe Hai.

Lekin Wo Billi Kabhi Kabhi Us Quraaan Shareef Ke Paas Baith Jati Hai. Aur Kabhi Kabhi Uske Upar Se Bhi Nikal Jati Hai.

To Iska Kya Muamlaa Hoga?

Jawab:

Ye Ghar Waalo Ki Sarasar La Parwaahi Hai Ke Quraan E Majeed Ko Aisi Jagah Rakha Hi Kyu, Ke Wahan Billiyaan Aayein Jaayein.

Mus’haf Shareef Ko Unchi Aur Band Jagah Rakhna Chahiye Ke Billi Wahan Na Jaa Sake.

Is Surat Mein Ghar Ke Afraad Ko Chahiye Ke Istegfaar Ki Kasrat Karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love