Jis Mein Dandiya Khelne Ki Music Hoti Hai (Navratri Mein Jo Ye Log Dandiya Khelte Is Tarah)
Kai Kai Ilako Mein Shadiyo Mein Ye Rasm Karte Hai.
To Kya Is Tarah Kufriya Kalam Ke Sath Khelne Wale Ke Upar Kya Huqam Hoga.
In Logo Ka Kehna Ye Hai Ki Ham Bolne Pe Dhyan Nahi Dete Bas Jo Dandiya Ka Music Hai Us Par Khelte Hai.
Aisa Karne Wale Ke Upar Kya Huqm Hoga?
Jawab:
Agar Alfaz E Kufriya Soon Kar Us Par Raazi Hain To Us Par Tauba O Tajdeed E Iman Lazim Hai.
Aur Aise Gaano Par Nachna Us Ke Raza Mandi Par Daleel Hai. Lehaza Kufriya Ashaar Par Dandiya Khelne Wale Tauba O Tajdeed E Iman Karein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi