TOOT-TE TAARE (STAR) KI KYA HAQIQAT HAI?

USE DEKH KAR DUA MAANGNE KO KEHTE HAI.

Jawab:

Huzur Nabi-E-Kareem sallallaho alaihi wasallam ki Aamad ke waqt arab ka haal ye tha ke unke yaha KUHANAT ka bada charcha tha. Har jagah is tarah ke log mil jaya karte the jo gaib daani ka daawa karte the.

Yeh unka pesha tha aur yahi unki aamdani ka zariya bhi. Kisi ki koi chiz ghoom gayi wo kahi ke pass pahunch jata.

Kisi ka koi qareebi rishte daar bimar pad gaya.

Kisi ne naya karobar shuru kiya, usme nafa hoga ya nahi, Koi safar par nikalne ka irada kiya, garz ke koi bhi kaam karne se pahle wo kahino ke pass pahuch jate aur unse suwal karte.

Aur in kahino ke bare mein ahle arab ka yeh aqeedah tha Ke inke ma tahat koi jinn hai aur wo gaib ki khabrein aa kar batata hai.

Jab Aaqa e Kareem sallallaho alaihi wasallam ne ailaan e nabwuwat farmaya aur kaha ke ek farishta hai. Jo mere pass Allah ka kalam lekar aata hai.

To logo ne aap ko bhi kahin hi kaha aur samjha aur wahi e ilahi ko un kahino ki baton par qayaas kar liya aur yeh samjhne lage ke inke pass bhi koi jinn hai aur wohi aa kar inko batein sikhata hai.

Quran ne is poore waqiye ko aur ahle arab ka batil aqeede ki tardeed ki (Yaani Ke aaqa e kareem sallallaho alaihi wasallam ke pass bhi koi jinn hai. Jo gaib ki batein batata hai. Jaisa ke kahin bataya karte the) aur irshaad hua ke “be shak hum ne niche ke aasmaan (yaani wo aasman jo zameen se sabse qareeb hai),

taaron ke singhaar se aarasta kiya aur nigah rakhne ko har shaitan sarkash se. (yaani humne aasman ko har ek na farmaan shaitan se mahfooz rakha ke wo na aa sakein).

Aalam e bala ki taraf kaan nahi laga sakte. (yaani aasman ke farishton ki guftugu nahi soon sakte. Jaisa ke wo karte the ke farishton ke darmiyan ho rahi guftugu soon kar kahino ko aa kar batate. Magar ab nahi kar sakte ke ab nabi e paak sallallaho alaihi wasallam tashreef le aaye)

Aur un par har taraf se maar phenk hoti hai. (yaani angaron ke gole mare jate hain. Agar koi shaitan aasman ki taraf jayein).

Unhe bhagaane ke liye, aur unke liye hamesha ka azaab, magar jo (shaitan) ek aadh baar uchak le chala (yaani farishton ke darmiyan jo baat ho rahi hai. Use gar koi soon bhi le to) to raushan angara unke piche laga (yaani ke use jala ke rakh kar dale.)”

KANZ-AL-IMAN.

(Sura Saffat Aayat No 6,7,8,9,10.)

Is poori baat se ye samjh mein aaya ke toot te sitare ki haqeeqat yeh hai ke shayatin farishton ke darmiyan ho rahi baaton ko choori chupke sunne ki koshish karte hai.

Magar unhe rauwshan angare se jala diya jata hai aur jalta hua kabhi kabhi hame bhi nazar ata hai aasmano mein.

Ab rahi baat yeh ke toot te sitare ko dekh dua mangna kaisa hai.

To yaad rakhein wahan dua nahi mangna hai.

Balke LaaHaul Shareef padhna hai.

Yeh kahin se sabit nahi ke us waqt dua qobool hoti hai.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love