Kya Shadi Mein Gulab Ke Phool Istemal Karna Galat Hai?

Mera Puchne Ka Matlab Hai Ki Dulha Dulhan Ke Liye Jab Shadi Ki Raat Mein Kamara Sajaya Jata Hai.

To Isme Farsh Par Ya To Bistar Par Lal Gulab Se Sajaya Jata Hai.

To Kya Koi Harz Hai Is Baat Me.

Jawab:

Baaz Hadeeso Mein Aaya Hai Ke Huzoor E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paseena E Mubarak Se Gulab Ka Phool Paida Hua.

Aur Ek Jagah Marwi Hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya

Gul E Sufaid Mere Paseene Se Shab E Meraj Paida Hua, Gul E Surkh Jibreel Ke Paseene Se Aur Gul E Zard Buraaq Ke Paseene Se.

Neez Marwi Hai Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ke Meraj Se Wapsi Par Mere Paseene Ka Qatra Zameen Par Gira To Us Se Gulaab Paida Hua.

Jo Koi Meri Khusbu Sunghna Chaahe Wo Gulaab Ko Soonghe.

Ek Aur Riwayat Me Hai Ke Jab Mere Paseene Ka Qatra Gira To Zameen Hansi Aur Gulaab Ke Phool Ko Ugaya.

Madaarijun Nabuwwah

In Hadeeso Ko Muhaddiseen Agarche Apni Istelaaho Ke Ba Mujab Kalaam Karte Hain.

Magar In Riwaayato Mein Jo Kuch Aaya Hai Wo Nabi E Mukhtaar Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Darya E Fazl O Karam Ka Ek Qatra Hai.

Jin Ke Sath Allah Taala Ne Apne Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Mukarram Farmaya.

Lehaza Phoolo Ka Ehteraam Kiya Jaayein Khusoosan Gulaab Ke Phool Aur Unhe Pairo Ke Neeche Na Aane Diya Jaayein.

Huzoor E Mufti E Aazam RadiAllahu Taala Anhu Bhi Kisi Ko Gulaab Ki Be Hurmati Karte Dekhte To Mana Farmaate Aur Ye Sher Parha Karte.

Unhi Ki Boo Maya E Saman Hain
Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hain
Unhi Se Gulshan Mahek Rahe Hain
Unhi Ki Rangat Gulaab Mein Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love