Kya Grahen Ke Waqt Khana Nahi Khana Chahiye.

Kuchh Log Kahte Hain Ki Jab Grahen Padna Shuru Huwa Jab Se Khana Nahi Khana Chahiye.

Tab Tak Ki Grahen Poora Na Ho Jaayein.

Jawab:nnIs Ki Koi Sharai Haisiat Nahi Hai.

Haan! Amawas, Ya Suraj, Ya Chand Garhan Mein Aksar Jadu Tona Kiya Jaata Hai.

Lehaza Us Se Hifazat Ke Liye Ayatal Kursi O Surah Falaq, Surah Naas Parhein.

Aur Bade Buzurg Hamila Aurat Ko Baaher Nikalne Se Mana Karte Hai, To Ehtiyaat Kiya Jaayein.

Rahi Baat Khaane Peene Ki To Bismillah Shareef Parh Kar Kisi Cheez Ke Khane Mein Harj Nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love