Kuch log kehte hai ke apke waha kisi rooh ka mamlaa hai

yaa to fula aadmi yaa aurat jo mar chuka / chuki hai.

Uske wajah se aapko pareshani ya taklif hai. (Meri murad Muslamano ki hi baat hai gair ki nahi)

To mufti sahab, to kya aisa kehna durust hai?

Jara tafseel se batayenga.

Jawab:

Agar Rooh Kisi Musalman Muttaqi parhezgar ki hai to wo pareshan nahi karegi.

Aur kisi Gair Muslim, ya gunahgaar ki rooh, to khud Azab mein giraftar hogi. To uske aane ka sawal nahi.

Haan ye ho sakta hai ke jinnati asaraat ho.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Sawal 2

Jo baat hai wo muslaman ki hi hai aur unki maut kuwe mein khudkusi karne se hui thi.

Hamare dada ki pehli aurat ki baat hai. To koi rasta bataye Hazrat?

Jawab:

Jawab mein sab ki tafseel bayan ki gayi hai.

Kisika khudkushi karna haraam hai aur wo mustahiq e azab hai.

Lehaza uski rooh ka aana Aur Pareshan karna Sahi nahi.

Haan is bahaane kisi jinnat ki shararat ho sakti hai.

Ghar ke rehne wale namazo ki pabandi karein aur rozana quran e majeed se kuch tilawat karein.

Sote waqt ayat al kursi aur chaaro qul padh kar damm kar liya karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love