Maine suna ke kaala joota (shoe) pehne se fikar bad (zyada) ho jati hai

Aur ye Hazrat Ali karamAllahu wajhahul kareem ka qaul hai.

Kya ye Qaul sahi hai, jawab inayat farmaye.

Jawab:

Jooto ke Rang ke hawaale se koi Hadees meri Nazar se nahi guzri.

Haan! kuch logo ke hawaale se ye Maloom hota hai ke chunke Kaaba Shareef ke Ghilaaf ka rang kaala (black) hai.

Isliye wo kaale joote nahi pahente.nnYe koi Shara’i daleel nahi hai.

Lekin unki imani kaifiyat ka ek haal hai ke wo Adaban kaale joote nahi pahente.

Albatta Peela Joota Pahenna Pasandeeda hai.

Hazrat Maula Ali Karramallahu Ta’ala waj’hahul kareem farmate hain ke “jo peele rang ka joota pehnega uske afkaar (tentions) mein kami hogi (Yaani Gam aur fikrein kam hongi).”

Aur kaala joota pahenna naa pasandeeda hai ke isse Huzn o Malal me izaafa hota hai.

Jaleelul Qadr Sahabi Hazrat Abdullah bin Zubair radi allahu anhu siyaah joote pahenne se mana farmate the, ke isse Afkaar (huzn o malal fikrein) paida hote hain.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love