Kya mangal ke din nakhun nahi kaat sakhte hai

Zaid bol raha hai ki mangal ke din nakhun katne se ek khoon ka gunah milta hai or 14 saal tak koi neki nahi likhi jayegi.

Jawab:

Is tarah ki koi riwayat nahi hai.

Jo is tarah ki baat kahe usse daleel maange, warna use tauba ka hukm dein.

Mangal ke din nakhun kaatne mein harj nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love