Agarche Parindo (Birds) Ko Palna Jayez Nahi Hai

Fir Bhi IsKe Rewaj Bahot Purana Hai. Logoko Iska Shauk Hai. Ye Jayez Nahi Hai Is Baat Ki Dalil Kya Hai?

Jawab:

Agar Parindo Ko Takleef Na De Aur Uske Khane Peene Ka Khoob Dhiyan Rakhe.

Khane Peene Wagairah Mein Kuchh Kami Na Karein To Jaayez Hai.

Aala Hazrat Azeemul Barakat RadiAllahu Taala Anhu Parinde Wagairah Ke Paalne Ke Baare Mein Farmate Hai.

Jaanwaraan E Khangi Misl Kharoos O Makiyan O Kabootar E Ahli Wagairah Paalna Bilaa Shubah Jaayez Hai.

Jabke Unhe Eeza Se Bachaye Aur Aab O Dana Ki Kafi Khabar Giri Rakhein.

Magar Khabar Giri Ki Ye Taakeed Hai Ke Din Mein 70 Dafa Dana Paani Dikhaye.

Warna Paalna Aur Bhooka Pyasa Rakhna Sakht Gunah Hai.

Fatawa Razviyya Jild 9 Hissa 1 Safa 71

Mazkoorah Paabandi Ke Saath Tota, Bulbul Wagairah Bhi Paalna Jaayez Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love