Yaha Hamare Gaon Mein Kisi Musalman Ka Inteqal Ho Jata Hai.

Uske Issal-e-Sawab Ke Liye Baad Namaz-e-Isha 10 din Tak Quran Khwani Rakhi Jati Hai Or Baad Me Fateha Or Niyaz (Shirni) Or Tea Taksim Ki Jati Hai.

Isme Hum Sab Log Sirkat Karte Hai.

To Kya Wo Issal-e-Sawab Ki Niyaz (Shirni) Kha Sakte Hai?

Or Chai Pani Jo Waha Sabko Pilaya Jata Hai To Kya Use Pee Sakte Hai?

Or Ye Ek Rasm Ho Gayi Hai Or Is Quran Khwani Me Zyadatar Aam Log Hote Hai.

To Sabke Liye Kya Hukm Hai.

Kya Kha Pee Sakte Hai Woh

Jawab:

Iske Zyada Haqdaar Fuqra Masakeen Hain.

Lehaza Unhe Khilaya Jaayein.

Behtar Hai Ke Jo Ameer Hain Wo Na Khaayein.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love