Zaid Ne Apne College Ki Aadhi Fees Trust Se Bharwayi (Zakat Ke Paise Se)

Jab Ki Uske Paas Fees Bharne Layak Rakam Thi Par Uske Ghar Mein Aur Bhi Kaamo Mein Uss Rakam Ki Zarurat Pad Rahi Thi.

Kya Wo Qarz Ki Niyat Se Zakat Ka Paisa College Mein Fees De Sakta Hai?

Yani Karz Ke Taur Par Ki Aage Jab Uske Paas Paisa Ayega Toh Woh Trust Mein Rakam Jama Karke Apna Qarz Ada Kar Sake?

Jawab:

Agar Waaqai Zaid Mustahiq Zakat Nahi Aur Us Ne Zakat Li To Zakat Ada Na Hogi Aur Zaid Ko Wo Raqam Lautana Waajib Hoga.

Agar Trust Ne Khud Se Fees Ki Raqam Bhari To Zakat Ada Na Hogi.

Zakat Ki Adayegi Ke Liye Mustahiq Ko Us Zakat Ke Maal Ka Maalik Banana Zaruri Hai.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love