QURBANI KA BAYANnnQurbani hazrat saiyyiduna ibaraheem ???? ?????? ki sunnat hai.nnJo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi ??? ???? ????? ???? ???? ko qurbani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya.n???????? ????????? ??????????nnTum apne rabb ke liye namaz padho aur qurbani karo.nn(Surah-e-kausar aayat no.2)nnAHAADEES E KAREEMAnnHadees: Ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa ??? ???? ????? ???? se riwayat hai ke.nnHuzur e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne irshad farmaya.Ke yaumunnahar (daswen zilhijjah) me ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane (qurbaani karne) se ziyadah pyara nahi. aur woh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbani ka khoon zameen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool me pahunch jaata hai,nnLihaza is ko khush dili se karo.nn(Abu daaud / Tirmizi / Ibn e maajah)nnHadees: Hazrat imam hasan bin ali ??? ???? ????? ????? se riwayat hai ke.nnHuzur ??? ???? ????? ???? ???? ne farmaya, jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbani ki.Oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi.nn(Tibraani)nnHadees: Hazrat abdullah bin abbas ??? ???? ????? ????? se riyawat hai ke.nnHuzur ??? ???? ????? ???? ???? ne irshad farmaya, jo rupiya eid ke din qurbani me kharch kiya gaya us se ziyadah koi rupiya pyara nahin.nn(Tibraani)nnHadees: Hazrat e Abu Hurairah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai ke.nnHuzur e Aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne farmaya jis me us’at ho aur qurbani na kare woh hamari eid gaah ke qareeb na aaye.nn(Ibn e Maajah)nnHadees: Hazrat e Zaid Bin Arqam ??? ???? ????? ??? se riwayat hai.Ki Sahaba kiram ne arz ki,nnYa Rasoolallah ??? ???? ????? ???? ???? ye qurbaniya kiya hai.nnFarmaya ke tumhare baap Ibraahim ???? ?????? ki sunnat hai.nnLogo ne arz ki, Ya Rasoolallah ??? ???? ????? ???? ???? hamare liye is me kiya sawab hai, farmaya har baal ke muqabil neki hai, arz ki aur uoon ka kiya hukm hai, farmaya keh uoon ke har baal ke badle me neki hai.nn(Ibn e Maajah)nnHadees: Hazrat Barrah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai.Ki Nabi e kareem ??? ???? ????? ???? ???? ne irshad farmaya, sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai.Keh namaz padhenge aur phir qurbani karenge.nn(Bukhari)nnHadees: Hazrat e Barrah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai keh.nnHuzur e Aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne farmaya, ke aaj ke din jo kaam hum ko pahle karna hai woh namaz hai aur is ke ba’d qurbani karna hai.nnJis ne aisa kiya oh hamari sunnat ko pahuncha.nn(Imam Ahmad)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????nn