QURBANI KI TA’REEF?nnMakhsoos Janwar Ko Makhsoos Din Mein Baniyyat E Taqarrub Zabah Karna Qurbani Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnQURBANI KI QISMEN?nnQurbani Ki Kayi Qismen HainnnGani Aur Faqeer Dono Par Wajib Hai Is Ki Soorat Ye Hai Keh Qurbani Ki Mannat Maani Ye Kaha Keh Allah Ke Liye Mujh Par Bakri Ya Gaaye Ki Qurbani Karna Hai Ya Is Bakri Ya Gaaye Ki Qurbani Karna Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnFaqeer Par Wajib Ho Gani Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai Ke Faqeer Ne Qurbani Ke Liye Janwar Khareeda Us Par Us Jaanwar Ki Qurbani Wajib Hai Aur Agar Gani Khareedta To Is Khareedne Se Qurbani Us Par Wajib Na Hoti.nn(Bahar E Shari’at)nnGani Par Wajib Ho Faqeer Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai Ke Qurbani Ka Wujoob Na Khareedne Se Ho Na Mannat Maanne Se Balkeh Khuda Ne Jo Use Zindah Rakha Hai Us Ke Shukriya Mein Aur Hazrat Ibraahim ???? ?????? Ki Sunnat Ki Ihya Mein Jo Qurbani Wajib Hai Woh Sirf Gani Par Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:-Musafir Pe Qurbani Wajib Nahin Agar Musafir Ne Qurbaani Ki Tataww’u (Nafl) Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH :-Aqeer Ne Agar Na Mannat Maani Ho Na Qurbani Ki Niyyat Se Jaanwar Khareeda Ho To Uska Qurbani Karna Bhi Tataww’u (nafl) Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:-Bakri Ka Maalik Tha Aur Uski Qurbani Ki Niyyat Kar Li Ya Khareedne Ke Waqt Qurbani Ki Niyyat Na Thi baa’d mein Niyyat Kar Li To Is Niyyat Se Qurbani Wajib Nahin Hogi.nn(Bahar E Shari’at)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI.nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????