Kyuke humara padosi qafir hai to akhlaq kab batayenge hum zaid ka kehna hai.nnZaid ka kehna quran or hadees me hai ke padosi ka haq ada kiya jaye.nnJawab:nnQurbani agar kisi faqeer ne ki ho to uska gosht kisi kafir ko dena jaayez nahi.nnAgar dega to utne gosht ka tawaan dena lazim hoga aur agar Gani ne Qurbani ki hai to gosht ka use ikhtiyaar hai.nnMagar mustahab ye hai ke uske 3 hisse karle ek hissa apne liye, ek azeezo ke liye aur ek tasadduq ke liye.nnYahan ke kuffar ko dena in teeno mado’n se kharij hai.nnLehaza unhe dena khilaf e mustahab hai aur apne musalman bhai ko chhor kar dena himaaqat hai.nnYahan ke kafiro ko gosht dena jaayez nahi, wo khas musalmano ka haq hai.nnAllah Ta’ala Ka irshad hai “tayyib Cheezein taiyyeb logo ke liye aur Taiyyeb log Taiyyeb cheezo ke liye” (26/24)nnPhir bhi agar koi apni jihaalat se dega to qurbani me koi harj na karega.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn(Mulakkhasan Fatawa Razvia)nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????