Qqurbani ka nisaburbani ka nisab?nnMASLAH:- Jo Shakhs 200 dirham (Saadhe 52 Taula Yani (612) Gram Chaandi ) Ya 20 Deenaar (Saadhe 7 Taulah Yani Saadhe 87 Gram Sona) Ka Maalik Ho Ya Haajat Ke Siwa Kisi Aisi Chiz Ka Maalik Ho Jis Ki Qeemat 200 Dirham (Saadhe 52 taula Chaandi) Ho Woh Gani Hai Us Par Qurbani Wajib Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Haajat E Asliyyah Se Muraad Rehne Ka Makan Aur Khana Daari Ke Saman Jinki Haajat Ho Aur Sawari Ka Janwar Khadim Aur Pahanne Ke Kapde In Ke Siwa Jo Chiz Ho Woh Haajat Se Zaaid Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Us Shakhs Pe Dain (Qarz Wagairah) Hai Aur Uske Amwal Se Dain Ki Miqdaar Mujra Ki Jaaye To Nisaab Nahi Baaqi Rahti Us Par Qurbani Wajib Nahi.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Maal Yahan Maujood Nahi Aur Ayyam E Qurbani Guzarne Ke baa’d Woh Maal Use Mausool Hoga To Qurbani Wajib Nahi.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Maalik E Nisaab Ne Qurbani Ke Liye Bakri Khareedi Thi Woh Gum Ho Gayi Aur Us Shakhs Ka Maal Nisaab Se Kam Ho Gaya Ab Qurbani Ka Din Aaya To Us Par Ya Zaroori Nahi Ke Dusra Jaanwar Khareed Kar Qurbani Kare Aur Agar Woh Bakri Qurbani Hi Ke Din Mil Gayi Aur Wo Shakhs Ab Bhi Maalik E Nisaab Nahi Hai To Us Par Us Bakri Ki Qurbani Wajib Nahi.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Ek Makan Jaade Ke Liye Aur Ek Garmi Ke Liye Ye Haajat Mein Daakhil Hai In Ke Ilawah Us Ke Paas Teesra Makan Ho Jo Haajat Se Zaaid Hai Agar Ye 200 dirham (Saadhe 52 Taula Chaandi) Ka Hai To Qurbani Wajib Hai..nnMASLAH:- Haajat Se Zaaid Makan Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Ko Pahunchti Ho To Qurbani Wajib Hai Agarche Woh Makan Kiraya Par Chalata Ho Ya Khali Pada Ho…nn(Fatawa Razviyyah Jild 8 Safah 389)nnMASLAH:- Makan E Sukunat Itna Bada Hai Ke Uska Ek Hissa Us Ke Jaade Garmi Ki Sukunat Ke Liye Kaafi Ho Aur Dusra Hissa Haajat Se Zaaid Ho Aur Uski Qeemat Tanha Ya Usi Qism Ke Maal Me Milkar Nisaab Tak Pahunche Jab Bhi Qurbani Wajib hai..nn(Fatawa Razviyyah Jild 8 Safah 389)nnMASLAH:- Garmi Jaade Ke Bichhone Haajat Me Daakhil Hain Aur Teesra Bichhona Jo Haajat Se Zaaid Hai uska ehtebaar hoga.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Kisi Ke Paas 2 Car Hai Agar Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai Aur Dusri Zaaid Hai To Agar Dusri Ki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye Qurbani Wajib Hai.nnMASLAH:- 2 Motor Cycle Hai Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai To Dusri Wali Motor Cycle Haajat Se Zaid Hai Aur Dusri Motor Cycle ki Qeemat Nisaab Ko Pahuch Jaaye To Qurbani Wajib Hai.nnMASLAH:- Bartan Kuch Istemal Ho Rahe Hain Aur Kuch Rakhe Huye Hai To Rakhe Huye Bartan Zaaid Hai Uska Bhi EHtebaar Hoga.nnMASLAH:- T.V., Video Camera Wagairah Haajat E Asliyyah Se Nahin Lihaza Agar Unki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbani Wajib Hai.nnMASLAH:- Fridge , Washing Machine, Mixer Machine Wagairah Haajat E Asliyyah Me Hai.nnMASLAH:- Ghar Me Pahanne Ke Kapde Aur Kaam Kaaj Ke Waqt Pahanne Ke Kapde Aur Juma O Eidain Aur Dusre Mauqo Par Pahen Kar Jaane Ke Kapde Ye Sab Haajat me Daakhil Hai Aur In 3 Ke Siwa Chautha Joda Agar 200 Dirham Ka Hai To Qurbani Wajib Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Kisi Ke Paas Kuch Zaaid Bartan Hai Magar Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaaid Kapde Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaid Gaadi Wagairah Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchti Magar Ye Sab Zawaaid Mil Kar Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbani Wajib Hai.nnMASLAH:- Kisi Ke Paas Khet Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Tak Pahunchti Ho To Us Par Bhi Qurbani Wajib Hai.nn(Maakhuz Az Fatawa Razviyyah Jild 8 Safah 393/ Ahkam Shari’at )nnMASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Mein Iska Ahal Na Tha Wujoob Ke Sharaait Nahi Paaye Jaate The Aur Aakhir Waqt Me Ahal Ho Gaya Yani Wujoob Ke Sharaait Paaye Gaye To Us Par Wajib Ho Gayinn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Me Wajib Thi Aur Abhi Ki Nahi Aur Aakhir Waqt Me Sharaait Jaate Rahe To Wajib Na Rahi.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Ek Shakhs Faqeer Tha Magar Usne Qurbani Kar Daali Uske Baa’d Abhi Waqt Qurbani Ka Baaqi Tha Ke Gani (Maalik E Nisaab) Ho Gaya TonnUsko Phir Qurbani Karni Chaahiye Keh Pahle Jo Ki Thi Woh Wajib Na Thi Aur Ab Wajib hai.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Agar Bawajood Maalik Nisaab Hone Ke Usne Qurbani Na Ki Aur Waqt Khatm Hone Ke Baa’d Faqeer Ho Gaya To Us Par Bakri Ki Qeemat Ka Sadqa Karna Wajib Hai Yani Waqt Guzarne Ke Baa’d Saaqit Nahi Hogi.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Ek Ghar Me Kayi Afraad Maalik E Nisaab Hai To Jitne Log Maalik E Nisaab Hai Sab Par Qurbani Wajib Hai Ghar Ke Kisi Ek Fard Ki Qurbani Hone Se Dusre Ka Wujoob Ada Na Hoga.nnMASLAH:- Kayi Afraad Me Maal Mushrtarak Hai To Agar Maal Shuraka Me Taqseem Karne Ke Baa’d Har Fard Ke Hissa Me Itna Maal Aata Ho Ke Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Sab Par Qurbani Wajib Hai Aur Agar Har Ek Ka Hissa Nisaab Se Kam Ho To Kisi Par Wajib Nahi.nnMASLAH:- Agar Maalik E Nisaab Bagair Qurbani Kiye Huye Unhi Dino Me Mar Gaya To Uski Qurbani Saaqit Ho Gayi.nn(Bahar E Shari’at)nnMASLAH:- Qurbani Ke Waqt Me Qurbani Karna Hi Laazim Hai Koi Dusri Chiz Uske Qaaim Maqam Nahi Ho Sakti Maslan Bajaaye Qurbani Usne Bakri Ya Uski Qeemat Sadqa Kar Di Ye Nakaafi Hai.nn(Bahar E Shari’at)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????