QURBANI KI MANNATnnMASLA:- Qurbani ki mannat sahih hai agar shart paayi gayi to Qurbani karna wajib hai.nnMaslan kisi ne kaha mera fulaan kaam ho jaaye to main Qurbani karunga aur woh kaam ho gaya to Qurbani wajib hai.nnMASLA:– Qurbani ki mannat maani aur ye mu’ayyan nahin kiya ke gaaye ki Qurbani karega, ya bakri ki to mannat sahih hai. Bakri ki Qurbani kar dena kaafi hainn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- Agar bakri ki Qurbani ki mannat maani to oont ya gaaye Qurbani kar dene se bhi mannat poori ho jaayeginn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- Mannat ki Qurbani mein se kuch na khaye balkeh sara gosht wagairah sadqa karde aur kuch kha liya to jitna khaya uski qeemat sadqa karde.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA:– Maalik e nisaab ne Qurbani ki mannat maani to uske zimmah 2 Qurbaniyaa wajib ho gayi ek woh jo gani par wajib hoti hai aur ek mannat ki wajah se.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- 2 yaa 2 se ziyadah Qurbaniyo ki mannat maani to jitni Qurbaniyo ki mannat hai sab wajib hai.nn(Bahar e shari’at)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????