QURBANI KE JANWAR KI UMAR KITNI HONA CHAHIYE?

Qurbani ke janwar ki umar ye honi chahiye?nnOont 5 saal ka,gaaye 2 saal ki,bakri 1 saal ki, is umar se kam ho to Qurbani jaayez nahin ziyadah ho to jaayez balkeh afzal hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Dumbah ya bhed ka 6 maah ka bachcha agar itna bada ho keh door se dekhne mein saal bhar ka maloom hota ho to uski Qurbani jaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Bakri ki qeemat aur gosht agar gaaye ke saatwen hissa ke barabar ho to bakri afzal hai aur gaaye ke saatwen hissa mein bakri se ziyadah gosht ho to gaaye afzal hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Mendha bhed se aur dumbah dumbi se afzal hai jab ke dono ki qeemat ek ho aur dono mein gosht barabar honn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Bakri bakre se afzal hai magar khassi bakra bakri se afzal hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Oontni oont se aur gaaye bail se afzal hai jab keh gosht aur qeemat mein barabar honnn(Bahar e shariat)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love