Qurbani ka janwar kaisa hona chahiye

QURBANI KE JAANWAR ME AIB KA BAYAN?nnMASLAH:– Qurbani ke Janwar ko aib se khaali hona chaahiye aur thoda sa aib ho to Qurbani ho jayegi. Magar makrooh hogi aur ziyadah aib ho to hogi hi nahin.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis ke paidaashi seengh na ho to uski Qurbani jaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH: Agar seengh thi magar toot gaya aur meng (gooda) tak toota hai to jaayez nahin is se kam toota hai to jaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis Jaanwar men junoon (paagalpan) hai aur is hadd kya hai ke woh Jaanwar charta bhi nahin hai to uski Qurbani naajaayaz hai aur is hadd ka nahin hai to jaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Khassi yani jiske khusiye nikaal liye gaye ho ya majboob yani jis ke khusiye aur uzu e tanaasul sab kaat liye gaye hon unki Qurbani jaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Itna boodha ke bachcha ke qabil na raha ya daaga hua Jaanwar ya jiske doodh na utarta ho in sab ki Qurbani jaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– kharishi Jaanwar ki Qurbani jaayez hai jabkeh farbah (mota) honn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Aur itna laagar (dubla) ho ke haddi mein magz na raha to Qurbani jaayez nahinnn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Bhenge Jaanwar ki Qurbani jaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Andhe Jaanwar ki Qurbani jaayez nahin.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Kaana jiska kaanapan zaahir ho uski Qurbani najaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Langda jo Qurbaangaah tak apne paaun se na jaa sake aur itna beemaar jiski baamaari zaahir ho aur jiske kaan ya dum ya chakki kate hon yani woh uzu tihaai se ziyadah kate hon un sab ki Qurbani naajaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Agar kaan ya dum ya chakki tihaai ya is se kam kati ho to jaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis Jaanwar ke paidaaishi kaan na ho ya 1 kaan na ho uski Qurbani naajaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis ke kaan chhote hon uski Qurbani jaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis Jaanwar ki tahaai se ziyaadah nazar jaati rahi uski bhi Qurbani naajaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis ke daant na ho uski Qurbani naajaayez hai.nnYani jis ke daant jhad gaye hon.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Qurbani ke Jaanwar ka daanta hona zaroori nahin agar umar poori ho to agarcheh daanta na ho uski Qurbani jaayez hainnMASLAH:– jis ke than kate hon ya khushk hon uski Qurbani naajaayez hai bakri mein 1 ka khushk hona naajaayez hone ke liye kaafi hai aur gaaye, bhains mein 2 khushk hon to naajaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis ki naak kati ho ya ilaj ke zarye uska doodh khush kar diya ho aur khunsa Jaanwar yani jis mein narr o maadah dono ki alamatein hon aur jallalah jo sirf galeez khata ho un sab ki Qurbani naajaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Bhed ya dumbah ki oon (baal) kaat li gayi ho uski Qurbani jaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jis Jaanwar ka 1 paaun kaat liya gaya ho uski Qurbani naajaayez hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Jaanwar ko jis waqt khareeda tha us waqt us mein aisa aib na tha jiski wajah se Qurbani naajaayez hoti hai ba’ad mein woh aib paida ho gaya to agar woh shakhs maalik kare aur agar maalik e nisaab nahin hai to usi ki Qurbani karle ye us waqt hai ke us faqeer ne pahle se apne zimmah Qurbani wajib na ki ho aur agar usne mannat maani hai ke bakri ki Qurbani karunga aur mannat poori karne ke liye bakri khareedi us waqt bakri mein aib na tha phir paida ho gaya is soorat mein faqeer ke liye bhi yahi hukm hai ke dusre Jaanwar ki Qurbani kare.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Faqeer ne jis waqt Jaanwar khareeda tha us waqt us men aisa aib tha jis se Qurbani naajaayez hoti hai aur woh aib Qurbani ke waqt tak baaqi raha to uski Qurbani kar sakta hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Gani aibdaar khareede aur aibdaar hi ki Qurbani kare to naajaayez hainn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Qurbani karte waqt Jaanwar uchhla kooda jiski wajah se aib paida ho gaya ye aib muzir nahin. Yani Qurbani ho jaayegi aur agar uchhalne koodne se aib paida ho gaya aur Woh chhoot kar bhaag gaya aur fauran pakad laaya gaya aur zabah kar diya gaya jab bhi Qurbani ho jaayeginn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Agar aibi Jaanwar ko khareeda tha aur baad mein uska aib jaata raha to gani aur faqeer dono ke liye uski Qurbani jaayez hai.nnMaslan aisa laagar (dubla) Jaanwar khareeda jiski Qurbani naajaayez hai aur uske yahan woh farbah ho gaya to gani bhi uski Qurbani kar sakta hai.nn(Bahar e shariat)nnMASLAH:– Bakara jo khassi nahin hota woh aksar peshaab peene ka aadi hota hai us mein aisi sakht badboo paida ho jaati hai ke jis raasta se guzarta hai woh raasta kuchh der ke liye badboodaar ho jaata hai uska bhi wahi hukm hai jo jallalah ka hai ke agar uske gosht se badboo daf’a ho gayi to kha sakte hain warna makrooh o mamnoo’ hai.nn(Bahar e shariat)nnChunkeh jallalah ki Qurbani jaayez nahin hai. Lihaza jo log aise bakre ki Qurbani karte hain jo peshaab peeta ho un par zaroori hai ke aise bakre ko itne din is tarah baandh kar rakhein ke peshaab na pi sake aur uske jism aur gosht se badboo rafa’ jo jaaye.nnMASLAH:– Jaanwaro ko aapas mein ladaana naajaayez o haraam hai.nnHADEES shareef mein hai RasoolAllah ??? ???? ????? ???? ???? ne chaupaayon ko ladaane se mana farmya.nn(Bahar e shariat)nnFAAIDAH:- Baa’z log Qurbani ke ayyaam se pahle hi bakre khreed lete hain aur tafreehan unhein aapas mein ladaate hain aisa karna jaayez nahin ke is mein un bezabaan Jaanwaro ko eezaa dena hai.nAise tamaasho mein shirkat bhi jaayez nahin.nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love