Qurbani ka gosht taqseem ka bayan

Qurbani ka gosht ka bayan?

MASLAH: Qurbani ka gosht khud bhi kha sakta hai aur dosre shakhs gani, ya faqeer ko bhi de sakta hai khila sakta hai.

Balke usme se kuch kha lena Qurbani karne wale ke liye mustahab hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Behtar ye hai keh gosht ke 3 hisse karein 1 hissa fuqra ke liye aur 1 hissa dost o ahbaab ke liye aur 1 hissa apne ghar walo ke liye.

(Bahar e shariat)

MASLAH: 1/3 ek tihaai se kam sadqa na karein Aur kul ko sadqa kar dena bhi jaayez hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Kul ghar mein rakh le ye bhi jaayez hai 3 din se zaaid apne ghar walo ke khane ke liye rakh lena bhi jaayez hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Agar us shakhs ke ahl o ayaal bahut ho aur saahib e us’at nahi hai to behtar ye hai ke saara gosht apne baal bachcho ke liye hi rakh chhore.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Qurbani ka gosht kafir ko na de keh yahan kuffar harbi hain.

(Bahar e shariat)

Yani yahan ke kaafiro ko gosht dena jaayez nahi.

(Fatawa razviyyah jild 8 safah 467)

MASLAH: Ojhdi, aant, wagairah khane ki chiz nahin use dafan karde aur agar koi kafir le jaaye ya kafir ko dedi jaaye to harj nahin

(Maakhooz az Fatawa Razviyah)

MASLAH: Qurbani agar mannat ki hai to uska gosht na khud kha sakta hai aur na agniya ko khila sakta hai.

Balke usko sadqa kar dena wajib hai.

Woh mannat maanne wala faqeer ho ya gani dono ka ek hi hukm hai ke khud nahi kha sakta na gani ko khila sakta hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Maiyyit ki taraf se Qurbani ki to uske gosht ka bhi wahi hukm hai ke khud khaye dost o ahbaab ko de faqeero ko de ye zaroori nahi ke saara gosht faqeero hi ko de kyuke gosht uski milkiyat hai ye sab kuchh kar sakta hai.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Agar maiyyit ne kah diya hai ke meri taraf se Qurbani kar dena to isse na khayein, balkeh kul gosht sadqa karde.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Qurbani ke gosht ko apni zaat ke liye bechna jaayez nahi aur agar bech diya to uski qeemat sadqa kar dena wajib hai.

MASLAH: Qurbani ka gosht devbandi wahabi gair muqallid wagiarah ko dena jaayez nahi.

MASLAH: Baaz log kafir qassab se gosht booti karwate hain to isme ye ihteyaat bahut zaroori hai ke kisi waqt bhi gosht musalman ki nazro se gaaib na ho.

MASLAH: Agar gosht musalman ki nazro se gaaib ho kar kafir ke qabze mein ho gaya to us gosht ka khana jaayez nahi.

MASLAH: Devbandi wahabi wagairah badmazhab jinki badmazhabi hadd e kufr ko pahunch gayi ho usne Jaanwar zabah kiya to Qurbani na hui aur gosht bhi haraam ho gaya.

MASLAH: Shirkat mein gaaye ki Qurbani hui to zaroor hai ke gosht wazan karke taqseem kiya jaayein.

Andazah se taqseem na ho kyuke ho sakta hai ke, kisi ko ziyadah ya kam mile aur ye najayez hai.

Yahan ye khayal na kiya jaayein ke kam o besh hoga to har ek isko dosre ke liye jaayez kar dega kah dega ke agar kisi ko zaaid pahunch gaya to mu’aaf kiya ke yahan adam e jawaz haqq e shara hai aur unko iske mu’aaf karne ka haq nahin.

(Bahar e shariat)

MASLAH: Yahan ye ho sakta hai ke saaton shareek milkar kisi aise shakhs ko jo is Jaanwar mein shareek nahin hai kul gosht ka maalik bana kar qabza dede.

Phir woh shakhs un saaton ko apni taraf se gosht jis qadar chahe dede to is soorat mein kam ya ziyadah hone mein harj nahin.

Ek soorat ye bhi hai ke kaleji paaye wagairah bhi gosht mein shaamil karde aur andazah se shuraka mein taqseem karde.

Durr e mukhtaar

BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love