QURBANI KE CHAMDE KA BAYAN

QURBANI KE CHAMDE KA BAYANnnMASLA:- Qurbani ka chamda aur uski jhol aur rassi aur uske gale me haar dala hai woh haar in sab chizo ko sadqa kar de.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- Qurbani ke chamde ko khud bhi apne kaam me laa sakta hai. Yani usko baaqi rakhte huye apne kisi kaam me laa sakta hai. Masla uski janamaz banaye, thaili ya mashkiza, dastarkhwaan, dol wagairah banaye ya kitabon ki jildon me lagaye ye sab kar sakta hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- Qurbani ke chamde ko aisi chizo se badal sakta hai jis ko baaqi rakhte huye usse nafa uthaya jaye jaise kitab.nnAisi chiz se badal nahi sakta jisko halak karke nafa haasil kiya jata ho jaise roti, gosht, sirka, rupiya, paisa aur agar usne un chizo ko chamde ke ewaz me haasil kiya to un chizo ko sadqa karde.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- Agar Qurbani ki khaal ko rupiye ke ewaz me becha magar is liye nahi ke usko apni zaat par ya baal bachcho par saraf kare balke isliye ke use sadqa kar dega to jaayez hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- Aaj kal aksar log khaal madarsa e deeniyya me diya karte hain aur baa’z martaba waha khaal bhejne me diqqat hoti hai. Use bech kar rupiye bhej dete hain ya kayi shakhso ko dena hota hai use bech kar daam un fuqara par taqseem kar dete hain. Ye bai’e jaayez hai is me harj nahi aur hadees me jo bechne ki mumana’at aai hai usse muraad apne liye bechna hai.nn(Bihar e shari’at)nnMASLA:- Qurbani ka chamda ya ghost ya us me ki koi chiz qassab ya zabah karne wale ko uski ujrat me nahi de sakta ke usko ujrat me dena bechne hi ke ma’na me hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA:- Qassab ko ujrat me nahi diya balke jaise dosre musalmano ko deta hai usko bhi diya aur ujrat apne paas se dosri chiz dega to jaayez hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLA: Baa’z log chamde ko bhi gosht ki tarah paka kar khate hai to is me harj nahi ke chamda ajza e mamnoo’ah me se nahi hai.nnMASLA:- Qurbani ki khaal masjid o madarsa me is liye dena ke use bech kar masjid o madarsa ke masaarif me kharch kiya jaaye maslan imam o muazzin o mulaazimeen ki tankhwah me ya masjid ki tameer wagairah me to is me harj nahi.nn(Makhuz az Fatawa Razviyah)nnMASLA:- Qurbani ki khaal khud bech kar masjid me diya to is me bhi harj nahi.nnMASLA:- Chunke Qurbani ki khaal ka sadqa karna sadqa e naagilah hai to is me tamleek faqeer shart nahi.nnFatawa razviyah me hai charm e Qurbaani ka tasadduq aslan wajib nahi. Ek sadqa e naafila hai is me ishtiraat e tamleek kahan se aaya.nn(Fatawa Razviyah Jild 8 Safah 48)nnLihaza Qurbaani ki khaal majid o madarsa wagairah me dene me heela e shar’ee ki zaroorat nahi.nnMASLA:- wahabi devbandi gair muqallid wagairah ke madaaris me Qurbani ki khaal dena jaayez nahi.nnMASLA:- Qurbani ki khaal apne liye becha to uski qeemat ka sadqa karna wajib hai. Is soorat me bagair heela shar’ee masjid o madarsa wagiarah me nahi saraf kar sakte.nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAIL E EIDUL AZHA O QURBANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????nn 

Share your love