EID KI NAMAZ KA BAYAN?nnAllah Azza o Jalla Farmata hai.nn??????????????? ?????????? ???????????????? ??????? ?????? ??? ??????????nnRozo ki ginti poori karo aur Allah ki badaai bolo ke usne tumhein hidayat farmayi.nn(2-Al-Baqara : 185)nnAur farmata hainn??????? ????????? ?????????nnApne rab ke liye namaz padh aur Qurbani karnn(108-Al-Kawthar : 2)nnHADEES:– Hazarat Abu Umamah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai ke RasoolAllah ??? ???? ????? ???? ???? farmate hai ke jo eidain ki raaton me qiyam (ibadat) kare uska dil na marega jis din logo ke dil marenge.nn(Ibn e Maajah)nnHADEES:– Hazrat Buridah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas ??? ???? ????? ???? ???? eidul fitr ke din kuch kha kar namaz ke liye tashreef le jaate aur eidul azha ko na khate jab tak namaz na padh lete.nnHADEES: Hazrat e Abu Hurairah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai ke eid ko ek raaste se tashreef le jaate aur dosre se wapas hote.nn(Tirmizi/Daarimi)nnHADEES:– Hazrat e Abdullah Bin Abbas ??? ???? ????? ????? se riwayat hai ke Huzoor Aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ne eid ki namaz 2 rakat padhi na uske qabl namaz padhi aur na uske baad.nn(Bukhari / Muslim)nnHADEES:– Hazrat Jaabir Bin Samurah ??? ???? ????? ??? se riwayat hai kahte hai main ne Huzoor ??? ???? ????? ???? ???? ke saath eid ki namaz padhi ek do martabah nahi (balke baarha) na azaan hui na iqamat.nn(Muslim)nnMASAAIL E FIQHIYYAH?nnEidain ki namaz wajib hai. Magar sab par nahi balke unhi par jin par juma wajib hai aur iski ada ki wahi shartein hain jo juma ke liye hain.nnSirf itna farq hai ke juma me khutba shart hai aur eidain me sunnat. Agar juma mein khutba na padha to juma na hua aur is mein na padha to namaz ho gayi. Magar bura kiya.nnDosra farq ye hai ke juma ka khutba qabl e namaz hai aur eidain ka ba’ad e namaz. Agar pahle padh liya to bura kiya, magar namaz ho gayi.nnLautaai nahin jaayegi aur khutba ka bhi i’aadah nahin aur eidain me na azan hai na iqamat sirf 2 baar itna kahne ki ijazat hai.nn??????????? ????????nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Bila wajah eidain ki namaz chhodna gumrahi o bid’at hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Gaaun me eid ki namaz padhna makrooh tahreemi hai.nn(Bahar e shari’at)nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti DIlshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????