EID KI NAMAZ KA TARIKAnnNamaz e eid ka tarika ye hai ke 2 rakat wajib eid ul fitr ya eid ul azha ki niyat karke kaano tak haath uthaaye aur Allahu Akbar kahta hua haath baandh le phir sana padhe.nnPhir kaano tak haath uthaye aur Allahu Akbar kahta hua haath chhod de.nnPhir haath uthaye aur Allahu Akbar kah kar haath chhod dennAur phir haat uthaye aur Allahu Akbar kah kar haath baandh le.nnYani pahli takbeer me haath baandhe iske baad 2 takbeero me haath latkaaye aur 4thi takbeer me baandh le.nnPhir imam ???? aur ??? ???? aahista padh kar jahar ke saath alhamd o soorat padhe.nnPhir ruku kare aur dosri rakat me pehle alhamd o soorat padhe.nnPhir 3 baar kaano tak haath lejaa kar Allahu Akbar kahe aur haath na baandhe aur 4thi baar bagair haath uthaye Allah Akbar kahta hua ruku me jaaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Eidain me zaaid takbeerein 6 hui 3 pahli qirat se pahle aur takbeer tahreema ke ba’ad aur 3 dosri me qirat ke baad aur takbeer e ruku se pahle aur in me se har takbeer me haath uthaaye jayenge aur har 2 takbeero ke darmiyan 3 tasbeeh ki qadr sakta karein.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Ye 6 takbeeren wajib hain yunhi dosri rakat ki takbeer e ruku bhi wajib hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Imam 6 takbeero se ziyadah kahe to muqtadi bhi imam ki pairwi kare magar 13 se ziyadah me imam ki pairwi nahi.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Pahli rakat me imam ke takbeer kahne ke baad muqtadi shamil hua to usi waqt 3 takbeerein kahle. Agarche imam ne qirat shuru kardi ho aur 3 hi kahe. Agarche imam ne 3 se ziyadah kahi ho.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Agar usne (muqtadi ne) takbeerein na kahi ke imam ruku me chala gaya to khade khade na kahe. Balke imam ke saath ruku me jaaye aur ruku mein takbeer kahle.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Imam ko ruku me paaya aur gaalib gumaan hai ke takbeerein kah kar imam ko ruku me paa lega to khade khade takbeerein kahe phir ruku me jaaye.nnWarna Allahu Akbar kah kar ruku me jaaye aur ruku me takbeerein kahe.nnPhir agar usne ruku me takbeerein poori na ki thi ke imam ne sar utha liya to baaqi saaqit ho gayi.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Imam ke ruku se uthne ke baad shamil hua to ab takbeerein na kahe. Balke jab apni padhe us waqt kahe.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Ruku me jahan takbeer kahna bataya gaya us me haath na uthaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Agar dosri rakat me shamil hua to pahli rakat ki takbeerein ab na kahe. Balke jab apni faut shudah padhne khada ho us waqt kahe aur dosri rakat ki takbeerein agar imam ke saath paa jaaye to fabiha.nnWarna is me bhi wahi tafseel hai jo pahli rakat ke baare me mazkoor hui.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Imam takbeer kahna bhool gaya aur ruku me chala gaya to qiyam ki taraf na laute na ruku me takbeer kahe.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Pahli rakat me imam takbeeren bhool gaya aur qirat shuru kardi to qirat ke baad kah le ya ruku me, aur qirat ka i’aadah na kare.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Imam takbeeraat e zawaaid me haath na uthaye to muqtadi uski pairwi na kare balkeh haath uthaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Namaz ke baad imam 2 khutbe padhe aur khutba e juma me jo chizen sunnat hain is me bhi sunnat hain aur jo wahan makrooh hai yaha bhi makrooh hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Imam ne namaz padh li aur koi shakhs baaqi rah gaya. Khwah woh shamil hi na hua tha, ya shamil to hua magar uski namaz faasid ho gayi.nnTo agar dosri jagah mil jaaye padh le, warna nahi padh sakta.nnHaan behtar ye hai ke ye shakhs 4 rakat chaasth ki namaz padhe.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH: Eidulazha tamam ehkaam me eidulfitr ki tarah hai sirf baaz baato me faraq hai.nnIsme mustahab ye hai ke namaz se pahle kuchh na khaye agarche Qurbani na kare aur kha liya to karahat nahi aur raaste me buland aawaz se takbeer kahta jaaye.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Jo chizein namaz me haraam hai maslan khana peena salam o jawab e salam wagairah ye sab khutba ki haalat me bhi haraam hain.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Jab khutba padhe to tamam haazireen par sunna aur chup rahna farz hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:- Jo log imam se door ho ke khutba ki aawaz un tak nahi pahunchti unhein bhi chup rahna wajib hai.nnAgar kisi ko buri baat karte dekhein to haath ya sarke ishare se mana kar sakte hain zaban se na jaayez hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Huzur e Aqdas ??? ???? ????? ???? ???? ka naame paak khateeb ne liya to haazireen dil me durood shareef padhein zaban se padhne ki us waqt ijazat nahi.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Yunhi sahba e kiram ke zikr par us waqt ??? ???? ????? ???? zaban se kahne ki ijazat nahi.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Baad namaz eid musafaha o mu’aanqah karna jaise umooman musalmano me raaij hai behtar hai, ke isme izhaar e musarrat hai.nn(Bahar e shari’at)nnMASLAH:– Baaz log mu’aanqa e eid se mana karte hain. Iski koi asl nahinnBalke ahadees kareema se mu’aanqah saabit hai.nnTafseel ke liye Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza fazil e barelvi ??? ???? ????? ??? ka risala mubarakan” ???? ????? ?? ????? ?????? ????? ” Ka mutala karein.nnBOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBANInn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti DIlshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????