Ajmer Shareef Me Jannati Darwaze Ki Hikmat Kya Hai?

Aur Isski Sahi Riwayat Aur Fazilat Kya Hai?

Jawab:

Hazrat Baba Fareedad Deen Ganj Shakr RadiaAllahu Taala Anhu Ne Jis Waqt Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz RadiaAllahu Taala Anhu Ke Mazaar-E-Paak Ke Qareeb Chilla Farmaya.

To Us Dauran Apne Khwab Me Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wassallam Ki Ziyarat Ki Aur Apne Jis Jagah Se Huzoor Ko Guzarte Hue Dekha.

Jab Bedaar Hue To Wo Jagah Waaqai Khushbu Se Muattar Thi.

Lehaza Us Jagah Ko Khaas Kar Diya Gaya Aur Jannati Darwaza Naam Rakh Diya Gaya.

Ke Sarkar Ka Guzar Us Raah Se Ho Gaya Wo Jannat Ki Raah Ho Gayi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love