Hamare Mashre mein ek aisa Shirk faila hua Hai

Jisko Hamare kuch bhai Jane Anjane mein Har Subha Subha Apne Dukan Apni Tijarat mein isko Anjaam dete hai.

Wo ye hai ke Jab bhe koi pehla Kharidar (grahak) aata hai tab mol bhao ke waqt Dukandar ke mu se ye nikalta hai ke.

Bhai “Bhoni” ka waqt hai le lO”

Ya phir.. “Aaj Subha se ab tak “Bhoni” nahi hui”.

Kya hai ye bhoni?

Bhai ye Mushrikeen ke mabood ka naam hai, ye mushree ko ka Aqeeda hai wo apne pahele kharidar ko mante hai aisa samjhte hai.

Astagfirullah

Aaj Hamare Muslim bhai bhi is Shirk ka shikar ho rahe hai jab ke Allah Ta’Ala farmata hai.

“Bhala wo Apna Rizzak band karde to wo kaun hai jo tum ko Rizzak de”

(Quran: 67:21)

Allah hame sahi samjh de aur shirk se bachaye Aur Allah par he bhrosa rakhein.

Aaameen Ya Rabbal Aalameen.

Forward to All & Get sawab e Jariya

KYA YE SAHI BAAT HAY HAZRAT RAHNUMAI FARMAYE.

Jawab:

Bohni kisi bhoot ka naam hai ye aaj tak na hum ne suna na hamare baap dada ne.

Aur Agar Bil Farz iska koi Qabeeh Maana ho bhi to Musalman uska ye Maana nahi leta ke ye Ma’az-Allah koi khuda hai.

Balke usse Shuruaat hi muraad leta hai aur isme koi harj nahi.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love