Kya Bade Ka Gosht Khana Sunnat hai?

Kya Hadees-e-Muabaraka mein bhi iska zikr hai? Bade Ka Gosht se murad Gaaye, Bail aur Bhains hai.

Jawab:

Gaaye ke gosht khaane se Muta’lliq kahin Saraahat nahi milti.

Lekin iska Matlab hargiz nahi ke Uska zibah Mana hai.

Balke gaaye zibah karne ka jawaaz Quran o hadees se sabit hai.

Gaaye ki hillat Shariat e Qadeema hai.

Allah Ta’ala Quran e Azeem me Farmata hai.

Yaani kya Aayi tere paas khabar ibrahim ke izzat daar mehmano ki, jab wo uske paas aaye bole Salam, kaha salam anjaane log hain phir jaldi karta apne ghar gaya, so un ke khane ko le aaya ek farbah Bachhda bhuna hua.

Ahadees se saabit hai ke Huzoor Sallallahu Alahi Wassallam ne apni azwaaj e mutahharaat ki taraf se gaaye ki qurbani ki, aur qurbani ka gosht khane ka hukm farmaate, Magar khud Huzoor e Aqdas Sallallahu Alahi Wassallam ne tanawul farmaya ya nahi, is baare mein Hadees mein saraahat Mere ilm mein nahi.

Haan Hadees e Muslim kitab ul zaqat ke buryerah ke liye gaaye ka gosht sadqe mein aaya wo huzur Sallallahu Alahi Wassallam ke pass laya gaya aur Huzur Sallallahu Alahi Wassallam se arz kiya gaya ye sadqa hai ke buryerah ko aaya farmaya iske liye sadqa hai aur humare liye hadiya.

Isse bazahir tanawal farmana maloom hota hai.

Mulakkhasan Fatawa Razvia wa Hashiya Hujjatul Islam

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love