Agar koi bewa aurat (widow) apni ladki ki shadi ki dawat zakat ke paiso se karti hain

To us daawat mein khane wale logo par, kya ye dawat mein khana jayez rahega.

Jawaab:

Agar wo bewa Mustahiqq e zakaat hai to use zakaat lena jaayez aur us raqm se daawat karni bhi jaayez aur logo ka daawat khana bhi bila shubah jaayez hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love