Main har mahine jitna bhi kamata hoon unme se 11% rupaye Allah ke rah mein nikal deta hoon.

Jo fatiha aur darood ke liye, ya phir aalim e din, ya miskeen ke ghar ke anaaj ke liye istemal kiya jaata hai.

Mera sawal ye hai ke Kya main kisi surat pe (Ghar mein tangdasti ke karan) is raqam ko har maine 11% ke bajaye usse kam paise nikalta hoon.

Toh kya mere rizq mein barkat ki kami hojayegi?

Jawab:

Apne rizq ke hisab se sadqa niyaz wagaira karein.

Inshallah barkat hogi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love