Hazrat kya us chaadar ko doosri kisi dargah me pesh kar sakte hai?nnRehnumayi farmayein.nnJawab:nnAksar dargaho pe urf o riwaaz se ye baat sabit hai ke wo chaadarein mujawaro ke le lene ke liye charhaai jaati hai.nnTo mujaawar maalik ho gaya aur ye khareed o farokht jaayez ho gayi.nnAur agar kahin chadar isliye charhaai ke wo mazar par rahe, to wo chaadar rakhne wale ki milkiyat me baaqi hai.nnJab tak wo ijazat na dega khareed o farokht sahih na hogi.nnLehaza agar wahan ka urf ye hai ke chadarein isi liye charhaai jaati hain ke ise bech kar uski qeemat dargah ke ikhrajat me sarf ki jaaye to khareed sakta hai.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????