Hinda ke walidain bhi faut ho gaye hain. Hinda ke 3 bhai aur 2 behne hayaat hain.nnAb waarison me tarka kis tarah Taqseem hoga?nnHinda ne wasiyat ki thi ke uske maal se 25 fisad khairaat ki jaye.nnJawab:nnHinda ke zimme agar koi dain. Maslan qarz wagaira ho, to uske tarke se pehle wo ada kiya jaaye.nnPhir agar unho ne koi wasiyyat e saheeha ki hai to tihaai 1/3 maal tak wo nafiz ki jaaye, huqooq e mutaqaddima ki adaayegi ke baad.nnAgar waaqai hinda ke wariso me 1 shauhar, 3 betiyaan, 3 bhai aur 2 behne hain.nnInke ilawa hinda ka aur koi dosra waris nahi.nnTo hinda ka kul tarka 288 hisse ho kar 72 hisse uske shohar ko, 64 hisse teeno betiyo me se har ek ko, 6,6 hisse teeno bhaiho ko aur 3,3 hisse dono behno ko milenge.nnAgar feesad dekha jaaye to taqreeban, 25% shauhar ko, har ek beti ko 22.22%, har ek bhai ko 2.083%, har ek bahen ko 1.0416%.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????