Aala Hazrat Quds Sira Sarkar Gareeb Nawaz Radiallahu Ta’la Anho Se Taluq Khatir Tha, Ya Nahi.nnBa Surat E Awal Baragah Khwaja Me Mausuf Ki Kabhi Hazri Kyon Nahi Hui,nnNiz Sarkar Khwaja Ki Madah Sarai Ki Kisi Tasnif Na Aai Jaisa Ke Sarkar Gausiyat, Apki Tarif Wa Tausif Se Unki Tasnifaat Gunj Rahi Hai Bar Surat Daum Kyon Kya Sabab Hai ?nnJawab:nnMujjadeed E Azam Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Quds Sira Ko Jis Tarah Tamaam Aauliyah E Kiram Se Aqeedat Wa Mohabbat Thi Isi Tarah Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Sultan Ul Hind Radiallahu Ta’la Anho Se Bhi Thi.nnAur Al Malfuz Me Gareeb Nawaz Quds Sira Ka Zikr Bhi Pure Aqeedat Ke Sath Hai.nnHisa Saum : Safah 47 Aur Amjer Sharif Darbar Khawaja Me Hazri Bhi Di Hai.nnJanaab Syed Hasan Sahab Razwi Wakil Jaura Ne Khud Mujh Se Yeh Bayan Kiya Hai.nnAla Hazrat Unhi Ke Yaha Muqim The.nnRah Gaya Ke Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Ka Zikr Itni Kashrat Se Nahi Jitni Kasrat Se Hazrat Gaus E Azam Radiallahu Ta’la Anho Ka Hai.nnIska Jawab Yeh Hai Ke Yeh Nisbat Ke Galba Ka Asar Hai.nnnChunke Aala Hazrat Par Nisbat E Qadriya Hawi Thi.nnIsliye Uske Jalwe Jagah Jagah Nazar Ate Hai Aur Nisbat Ka Galba Humare Aur Apke Bas Ki Baat Nahi.nnBatni Taur Par Jo Buzurg Jiska Mazhar Nazar Ho Jaye Bas Wo Uska Ho Gaya.nnQaida Yahi Hai Jisko Naimatein Jaha Se Milti Hai. Wo Ussi Ke Goon Gata Hai.nnKhud Chishti Hazrat Ka Haal Yeh Hai Ke Wo Khud Sarkar Gaus E Azam Radiallahu Ta’ala Anho Ka Zikr Boht Halke Andaz Me Karte Hai.nnBehar Haal Yeh Iftara Hai Ke Aala Hazrat Gareeb Nawaz Se Lagao Nahi Tha Aur Waha Hazri Nahi Di.nnHaan, Yeh Baat Sahi Hai Ke Jo Walihana Aqeedat Sarkar Gaus E Azam Radiallahu Ta’ala Anho Se Thi Wo Kisi Wali Se Nahi Thi.nnIska Sabab Nisbat Qadriya Ka Galba Hai Aur Yeh Qabil E Aitraaz Baat Nahi.nnNaqsbandi Hazrat Khwaja Khawzgaan Khwaja Bahdudeen Naqbandi Quds Sira Aur Soharwari Hazrat Shaikh Hazrat Shaikh Shabdudeen Sarwar Quds Sira Ka Zikr Digar Auliyah E Kiram Se Zayda Karte Hai.nnIska Yeh Matlab Hargiz Nahi Ke Unhe Dusre Aauliyah E Kiram Se Aqeedat Nahi.nnYa Unke Dil Me Dusre Aauliyah E Kiram Ki Taraf Se Sue Aqeedat Hai.nnBalke Yeh Is Batni Silsila Ki Nisbat Ka Asar Hai.nnAb Agar Koi Chistiyon Se Yeh Kahe Ke Aap Logo Ko Khwaja Naqshband Se Ya Hazrat e Shahabudeen Sauharwardi Se Qalbi Lagao Nahi.nnTo Wo Kya Jawab Denge Jo Jawab Unka Hoga Wahi Jawab Humhara Hoga.nnIs Qism Ki Mehmal Baatein Aajkal Ke Be Parde Likhe Ilm Zahir Wa Ilm Batini Se Kore Bataur Paisha Peeri Muridi Karne Wale Kiya Karte Hai.nnAgar Ilm Batin Hota To Wo Is Qism Ki Baatein Zubaan Par Nahi Laate.nnFatwa E Sharah Bukhari Jild 3 Safah 462