Shah Ki Sari Ummat Pe Lakho Salaam Me “Ummat” Se Kya Murad Hai ?

Ek Muqrir Ki Nuqta Afrini Par Shareh Bukhari Ki GirfatnnMaslannEk Khatib Sahab Ne Apne Dauran E Khitaab Aala Hazrat Radiallahu Ta’ala Anho Ke Is Shair Ki Tashrih Karte Hue KennEk Mera Hi Rehmat Me Dawa NahinShah Ki Saari Ummat Pe Laakho SalamnnFarmaya Ke Is Me Ummat Se Murad Ummat E Dawat Hai.nnIsme Kufaar O Mushrikin Sab Sharik Hai.nnDalil Me Yeh Kaha Ke Huzur Aqdas ? Ki Wajh Se Ajaab Aam Se Sab Ko Salamati Hai.nnDusra Qaul Yeh Hai Ke Hazrat Imam Husain Radiallahu Ta’la Anho Ki Shahadat Dar Asal Huzur ? Ki Shahadat Hai.nnJaise Hazrat Syedna Ismail Allaihissallam Ki Jagah Par Dumba Zibah Huwa Tha,nnLekin Zabiullah Hazrat Ismail Allaihissallam Kehlaye Gaye.nnDono Qaul Ke Bare Me Hukm E Sharai Matlub Hai.nnUmmid Hai Ke Hum Sab Ki Rahnumai Farma Kar Andullah Majur Ho Gaye.nnJawab:nnIs Shair Me “Ummat” Se Ummat E Ijabat Murad Hona Mutaeen Hai.nnUn Waiz Sahab Ko Yeh Bhi Zahn Me Aaya Ke Mujjadeed E Azam Aala Hazrat Quds Sira Sari Ummat Par Salam Bhej Rahe Hai Aur Kafiro Par Salam Bhejna Haram Manjurali Ul Kufr Hai.nnIsme Shak Nahi Ke Huzur Aqdas ? Rehamatullil Alamin Hai Aur Alamin Me Kufaar Bhi Hai Aur Yeh Haq Hai.nnKafiro Ko Bhi Rehmat E Alam ? Se Kaafi Hisa Mila Hai.nnWujud Khud Bohot Badi Naimat Hai.nnPhir Insaan Hona Bohot Badi Naimat Hai.nnPhir Insani Quwatein Bhi Bohot Badi Naimat Hai.nnUske Elawa Zindagi Ke Lawazam Wagerah Wagerah Sab Huzur Hi Ki Rehmat Ka Shmara Hai.nnMagar Uske Bawajud Un Par Salam Bhejna Kis Tarah Jaiz Hai.nnUnke Liye Siwa E Dau E Hidyat Ke Dua E Khiar Jaiz Nahi.nnPhir Mujadeed E Azam Aala Hazrat Quds Sira Yeh Nahi Farma Rahe Hai Ke “Ek Mera Hi Rehmat Me Hisa Nahi”.nnBalke Farma Rahe Hai Ke “Rehmat Me Dawa Nahi” Dawa Ka Matlab Hota Hai Haq Sabit Hona.nnAgar Che Karim Aqa E Wada E Ki Bina Par Haq Hona Aur Baat Hai, Hisa Hona Aur Baat Hai.nnKoi Sakhi Apne Dushman Ko Bhi Kuch De De To Use Bhi Uske Karam Se Kuch Hisal Mil Jayega.nnLekin Dushman Ka Koi Haq Us Karim Par Nahi.nnBehar Hal Is Sher Me “Ummat” Se Murad “Ummat E Dawat” Ka Qaul Karna Khata Hai.nnUnhe Bhi Is Se Elaniyah Ruju Karna Lazim Hai.nn2) ALLAH Ta’la Waizo Ke Ishtraak E Ma’na Se Ummat Ko Bachaye.nnWaiz Ke Liye Alim Hona Shart Hai, Lekin Ab Waiz Nira Karobar Ho Gaya Hai. Har Charb Zuban Waiz Ban Bethha Hai.nnAyat Ke Ma’ni Ko Tod Marod Kar Ahadees Ke Mazmin Ko Rado Badal Karke Ulma Ke Irshad Ko Tod Marod Kar Lachhe Dar Alfaaz Me Bayan Karte Hai. Aur Awam Aise Hi Waizin Ko Sar Aankho Par Bithhate Hai.nnWaqiah Yeh Hai Ke Hazrat Shah Abdul Aziz Mohdeesh Dehlvi Rehamtullah Alaih Ne “Sira Ulshahdatein” Me Likha Hai Ke Hazrat Imam Hasan Mujtaba Sar Se Lekar Kamar Tak Aur Syedna Imam Husain Radiallahu Ta’la Anho Kamar Se Lekar Talwe Tak Apne Jade Karim Alaih Sallato Taslim Ke Mushabah They.nnBade Shehzade Ko Shahadat E Khafi Mili Aur Chhote Shahzade Ko Shahdat E Jali.nnIs Tarah Dono Shahzado Ki Shahadat Ke Zariyah Huzur Aqdas ? Ko Shahdat E Khafi Wa Jali Dono Hasil Hui.nnUnhone Ne Dono Shahzado Ki Shahadat Ko Bamanzila Shahadat E Huzur Qarar Diya.nnAur Waiz Ne Usko Sirf Hazrat Imam E Husain Radiallahu Ta’la Anho Par Fit Kiya, Isi Ko Ishtrak E Ma’na Kahte Hai Ke Kuch Bayan Kiya Jaye, Kuch Chordh Diya Jaye.nnAgar Che Mujhe Hazrat Shah Abdul Aziz Sahab Ki Nuqta Afrini Par Kalam HainnKyon Ke Us Se Lazim Ata Hai Ke Huzur Aqdas ? Apne Baz Kamalat Ke Usul Me Dusro Ke Mohtaaz The.nnIsi Tarah Waiz Ne Jo Yeh Bayan Kiya Ke Syedna Hazrat Ismail Allaihissallato Taslim Ki Jagah Dumba Zibah Ho Aur Zabiullah Wo Kahlaye. Wajh Yeh Nahi.nnZabiullah Kahlane Ki Asal Wajh Yeh Hai Ke Syedna Ismail Allaihissallato Taslim Ke Bas Me Zibah Hone Ke Liye Jitna Tha Wo Sab Kar Diya, Apni Taraf Se Zibah Hone Me Koi Daqiqa Faroguzashat Nahi Kiya.nnWaizin Se Is Qism Ki Galtiyah Aksar Hoti Rahti Hai, Isliye Hadees Me Farmaya Gaya :nnWaiz Nahi Kahta Magar Ameer Ya Jise Ameer Ijazat De, Hukm De Ya Utarne Wala.nnBehar Haal Jab Hazrat Se Shah Abdul Aziz Mohdeesh E Dehlvi Rehamtullah Allay Ne Wo Likha Aur Us Par Aitmaad Karke Waiz Ne Bayan Kiya To Us Se Koi Mawakhza Nahi.nnAgar Che Adha Hi Bayan Kiya.nnWallahu Ta’la Allam.nnFatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 470

Share your love