Maa Ayesha Siddiqua ??? ???? ????? ???? Ki Shaan E Aqdas Pe Roshani Daale Aur Hame Bhi Apne Ilm se Nawaze.nnJawab:nnUmmahaat ul Mo’mineen Me Hazrat Aaisha Siddeeqa ?????? ???? ???????? ???????? hi aisi khatoon hain jinki wilaadat Islami Maahaul me hui aur Islami Sheer se apki parwarish hui.nnAur aphi wo Tayyiba o Taahira hain ke jo Huzoor ? ke ilawa kisi aur ke Nikah me na raheen.nnAur Huzoor ? ne is Nikah ko Min Jaanibillah qarar diya tha.nnBukhari Sharif me hai Huzoor ? ne irshad farmaya.nn“Mardo me bahot se log Takmeel ke darje ko pohche, magar Aurato ke Andar sirf Maryam bint Imran Aur Aasiya Zawja e Far’aun hi takmeel ko pohchi, aur Aaisha ko to sab aurato par aisi fazeelat hai jaise Sareed ko sab khaano par hai”. nnBukhari Sharif hi me hai ke Huzoor ? ne irshad farmaya ke.nn“Ek Aaisha hi hai ke mai uske bistar pe hota hu to us waqt bhi wahi ka nuzool hota hai. Magar dosri Azwaaj ke bistaro par kabhi aisa na hua”.nnIsi liye Huzoor e Aqdas ? ne Saiyyeda Fatimatuzzahra ?????? ???? ???????? ???????? se farmaya.nn”Pyari beti! Jisse Mai Muhabbat rakhta hu, kya tum usse muhabbat nahi rakhti ?nnArz kiya zarur karti hu.nnIrshad farmaya ke tu bhi Aaisha se Muhabbat rakha kar”.nnHazrat e Aaisha siddeeqa ?????? ???? ???????? ???????? ke Kamalaat e Aaliya par ye Hadees bhi dalalat karti hai ke Nabi ? ne Hazrat Aaisha se Farmaya.nn“Ye jibr’eel hain aur tum ko salam kehte hain, Hazrat Aaisha ne salam ke jawab me Farmaya un par bhi Allah ki salamati o Rahmat ho”.nnGazwa e Badr me jis nishan ke Neeche Malaaika ne khidmat e islam ada ki aur jis nishan par Allah ki Awwaleen Nusrat o Fatah Nazil hui.nnWo Nishan Hazrat e Aaisha ki Orhni ka banaya gaya tha.nnYe baat bhi Apki Badi Fazeelat ko zahir karti hai.nnEk Gazwa me apki sawari kuch der se camp me pohchi to us par Munafiqeen ne unki shan e paak me gustakhaana kalimaat kahe, jinse lateef o sinf e nazuk ke liye aisa mauqa sakht pareshan kun hota hai.nnLekin us waqt bhi unki quwwat e imaniyah aur paaki e fitrat ki ajeeb shan nazar aayi.nnKhud farmati hain ke mujhe apni paak daamani ki waja se yaqeen e kamil tha ke meri taharat o pakeezgi ke baare me Huzoor ? ko khwab me bata diya jayega.nnMagar iska mujhe gumaan bhi na tha ke mere haq me wahi e Ilaahi ka nuzool hoga.nnUlama e kiram farmaate hain ke Hazrat Yusuf Alaihissalam ko doodh peete bachche aur Hazrat Maryam ko Hazrat Isa Alaihissalam ki gawahi se logo ki badgumani se nijaat bakhshi aur jab Hazrat e Siddeeqa Aaisha ?????? ???? ???????? ???????? par bohtaan utha to khud unki paak daamani ki Shahadat Allah ? ne di aur 17 aayatein naazil Farmayi.nnAgar wo chahta to ek ek darakht aur patthar se gawahi dilwata.nnMagar manzoor ye hua ke Mahboba e Mahboob ki Tahaarat o paak daamani par khud Allah ? shahadat de aur unki izzat o imtiyaz padhaaye.nnQuran e paak utra Maula e kareem ? ne Siddeeqa ki nusrat farmaayi, be qusoori zahir farmaayi, unko Taiyyeba Thehraya aur khabar di ke Magfirat aur Rizq e kareem unhi ke liye hai.nnGarz ye wo zaat hai ke jinki pakeezgi aur pak daamani ki awaz se zameen o Asman goonj uthe aur wahi utri jiski qiyamat tak Namazo me aur Mehraabo me tilawat ki jayegi.nnPhir jo Tafaqqoh unho ne deen me paya aur jo tableeg unho ne ummat ko farmayi aur Ilm e Nubuwwat ki isha’at me jo koshishein unho ne farmaayi aur jo ilmi khazane aur ganjeene unho ne farzandaan e ummat e marhooma ko pohchaaye.nnWo aisi fazeelat hai, jo azwaaj e mutahharat me se kisi dosri ummul momineen ko naseeb nahi.nnKutub e ahadees me apki riwayat ki Ta’dad 2210 hai, fatawa e sharaiyyah aur ilmi daqaaiq ka hal aur dosri ilmi khidmaat ka shumar inke ilawa hai.nnJo Hazrat e Aaisha Siddeeqa Taiyyeba Taahira ?????? ???? ???????? ???????? ki shan me gustakhiyaan karte hain wo bil waasta Huzoor e Aqdas ? ke Gustah hain Aur apki paaki Ka to Rab e kareem ? ne eylaan farmaya.nnPhir unpar keechad uchaalna Aayaat e kareema ko jhutlana hua, jo ke sakht hukm rakhta hai.nnAllah ? Hame Aise Shareero ke shar se bachaaye Aur Ahl e Bait e At’haar o jumla sahaba e kiraam ?????? ???? ???????? ???????? ?????? ka adab o Ta’zeem hamare dilo me Jaaguzeen farmaaye.nn???? ???? ???? ???????? ?nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????