Jannatul Baqi Ki Ziyarat Karna Kaisa Hai ?

Jannatul Baqi ki ziyarat Sunnat Hai.nnRoza E Aqdas ki Jyaarat karke waha jaye khususan Juma ke din is Qabristan me 10 hazaar Sahaba-E-Kiram Radiallahu Ta’Ala Anhum Madfun Hai Aur Tabeyin wa Tab’a Tabeyin wa Awliya wa Ulama wa Sulah wagairahum be-Shumar hai.nnYaha Jab Hazir Ho Pahle Tamaam Madfunin Muslimin ki Jyaarat ka Kasd kare Aur Yah Padhe.nnTajruma: Tum par Salam E Kaume Mominin ke Ghar walo Tum Hamare Peshwa ho Aur Ham insha’Allah Tum se Milne waale Hai.nnAye Allah Baqi walo ki Magfirat Farma Aye Allah Ham ko Aur Unhe Baksh de.nnAur Agar Kuch Aur Padhna Chaahte hai to Yah Pade.nnTarjama : Aye Allah Ham ko Aur Hamare Walidain ko Aur Ustado Aur Bhaiyoon Aur Bahno Aur Hamari Awlaad Aur Poto Aur Saathiyoon Aur Dosto ko Aur usko Jiska ham par Haq Hai Aur jisne hame wasiyat ki Aur Tamaam Mominin wa Muslimin wa Mislimaat ko Baksh de.nnAur Darood Sharif wa Surah E Fatiha wa Aayatulkursi wa Surah E ikhlaas wagairah jo kuch ho sake padh kar Sawaab uska najr kare.nnUske baad Baqi Sharif me Jo Mazarat Maroof wa Mash-Hoor hai.nnUnki ziyarat kar Tamaam Ahle Baqi me Afzal Amirul-Mominin Sayyedina Usman Gani ??? ???? ??? Hai.nnUnke Mazaar par hazir ho kar salam kare.nnBahare sharee’at Hissa 06 Safa 142nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????nn 

Share your love